Zahid Fakhri

Ranjish.com has lots of Urdu Zahid Fakhri Poetry. Feel free to add your own Zahid Fakhri Shayari here.

Zahid Fakhri Collection

Zahid Fakhri

Ranjish.com is always eager to add more and more poetry of Zahid Fakhri for our readers to enjoy, so keep visiting us for more of his poetry.



Woh jo mera waqif-e-haal tha..

Zahid Fakhri

Usay apne fardaa ki fikr thi, woh jo mera waqif-e-haal tha,
Woh jo us ki subah urooj thi, woh mera waqt-e-zawaal tha,

Mera dard woh kese janta, meri baat kese woh maanta,
Woh to khud fanaa ke safar pe tha usay rokna bhi muhaal tha,

Kahan jao ge mujhe chorr kr main yeh puch puch kar thak geya,
Woh jawab mujh ko na de saka, woh to khud saraapa sawaal tha,

Woh jo us ke saamne aa geya wohi roshni main nahaa geya,
Ajab us ki haibat-e-husn thi, ajab us ka rang-e-jamaal tha,

Woh mila to sadiyon ke baad bhi mere labb pr koi gilaa na tha,
Usay meri chup ne rulaa diya jise guftguu main kamaal tha,

Mere sath woh lag ke ro diya, mujhe “fakhri” itna woh keh saka,
Jise jaanta tha main zindagi woh to sirf weham-o-khayal tha..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zahid Fakhri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari