Zain Shakeel

Ranjish.com has lots of Urdu Zain Shakeel Poetry. Feel free to add your own Zain Shakeel Shayari here.

Zain Shakeel Collection

Zain Shakeel is a young Urdu Poet from Chakwal, Pakistan. He is known for his innovative style of ghazal and poetry.



Main ke phir roye bina raat nahin karta naa..

Zain Shakeel

main ke phir roye bina raat nahin karta naa,
jab koi mujh se teri baat naheen karta naa,

is liye us ke sabhi jhoot bhi sach maane hain,
woh bina roye koi baat naheen karta naa,

main isse is liye har baat bata deta hoon
aayina mujh se sawalaat naheen karta naa,

itne logon main mujhe yuun na dikhaon ankhain,
acha baba main koi baat nahin karta naa..



Itne bejaan sahare to nahin hote na..

Zain Shakeel

itne bejaan sahaare to naheen hote naa,
dard daryaa ke kinaare to naheen hote naa,

ranjishen hijar ka mayaar ghaTta deti hain,
rooth jane se guzaare to naheen hote naa,

raas rehti hai mohabbat bhi kayi logon ko,
woh bhi arshon se utaare to naheen hote naa,

hont seeney se kahan baat cHhupi rehti hai,
band ankhon se ishaare to naheen hote naa,

hijr to aur mohabbat ko baRrhaa deta hai,
ab mohabbat main khasaare to naheen hote naa..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zain Shakeel.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari