Zamir Jafri

Ranjish.com has lots of Urdu Zamir Jafri Poetry. Feel free to add your own Zamir Jafri Shayari here.

Zamir Jafri Collection

Zamir Jafri Zamir Jafri

Zamir Jafri was a famous Urdu Poet from Islamabad, known for his humorous poetry. His bibliography includes Zamereyat, Zameer Haizer Zameer Ghyab, Hafeez Namcha, Mun Mundri, Musadas-e-Bud hali, Ketabi Charya, Mary Peyar Ki Zameen and Meta Pani.
Do not forget to bookmark this website for more Zamir Jafri Poetry.



Apne zarf apni talab apni nazar ki baat hai..

Zamir Jafri

Apne zarf apni talabb apni nazar ki baat hai,
Raat hai lekin mere labb par sehar ki baat hai,

Aashiyan ke sath puri zindagi badli gayi,
Kam-nazar samjhe ke musht-e-bal-o-par ki baat hai,

Ta-abad kitne andhere they ke roshan ho gaye,
Shamaa ka jalna bazahir raat bhar ki baat hai,

Zindagi sadiyon ka hasil zindagi sadiyon ka roop,
Zindagi jo chashmak-e-barq-e-sharar ki baat hai,

Manzil ik rah-rav ka thak jana hai warna zindagi,
Ik musalsal rahguzar paiham safar ki baat hai..

اپنے ظرف اپنی طلب اپنی نظر کی بات ہے - سید ضمیر جعفری


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Zamir Jafri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari