Send nazam


Advertisements


nazam

Welcome to the largest collection of nazam. You can send these nazam to Pakistan Send these mobile nazam message to your friends and enjoy.

dil se bhari padhi hun mein

nazam

Aaj kuch anokhi si raah pe khadhi hun mein
Has rahi hun auron ko dikhaane ke liye

Per dil se bhari padhi hun mein
Har baar khela mukaddar ne khel mere
Is dard ke khel ko buhat jheli hun mein

Mein koi asmaan se utri pari to na thi
Per tere pyar me lagta tha ki sabse Albeli hun mein
Shuru huya tha mohabbat ka Safar aise

Jaise koi dulhan nayi naveli thi mein
Aaj choadh gaye muje tum us manzar pe
Kuch nahi bus ik khandar ,ik Haveli hun mein

Yeh shaan o shaukat ka kya karun ab mein
Yeh Jug ke jhoothe dilaason ka kya karun
Jab tu hi saath nahi

Matt laga aaj itne ilazamaat mujpe
Dekh zara jeeker Zindagi meri
Tere pyaar bin kitni akeli hun mein

IS jahan ke liye Kitni sulji
Per khud ke liye bus ik paheli hun mein
Aaj tuj bin buhat akeli hun mein!!!!



kaisay kahun

nazam

kaisay kahun
mjhe tmhari neeli ankhon se pyaar hai
kaisay kahun
mjhe tmhre chamakte hue honton se pyaar hai
kaisay kahun
mjhe tmhare bheegta hua hnton se pyaar hai
kaisay kahun
koi mjhe batye ye sabh mein apne MEHBOOB se kaisay kahun??????



Kya dhoop mein barish hoti hai ?

nazam

Main nay ussay poocha tha,
Kya dhoop main barish hoti hai??
Wo hanstay hanstay ronay lagi
Aur dhoop main barish honay lagi….



Lamhey

nazam

Kuch bhi tu nahee mere paas
Teri yaadoon ke siwa
Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
Mujhe yaad hai sab kuch
Tera woh kehna ke
kitni khobsurat hain aankhain tumhari
Kitne rung hain in main
Yeh kitna muskuraati hain
Yeh kitni baatain karti hain
Main thori door hojaoon tau
Mujhe waapis bulaati hain
Yeh mujh ko aazmaati hain
Magar
Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
Tere khwaaboon ke siwa
Teri yaadoon ke siwa…



Mujhe khabar bhi nahin

nazam

ik din shararatan us k kamre mn ja kr,
deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,
ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,
kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,
kahin takiya aansoun se num tha,
phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,
jis k safha-e-awal pe mera naam tha,
kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,
chehra paseene se tar tha,
meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

Mujhe khabar bhi nahin
ke woh khamosh sa shakhs
mujhe is qadar chahta tha.



Yeh Hijar Kya Hai

nazam

Yeh Hijar Kya Hai
Wisaal Kya Hai
Yeh Gardish-o-Maho Saal Kya Hai
Ye Jumla Rasmi Sahi Magar
Tum Meri Jaan
Kabhi To Poocho
Ke Haal Kya Hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more nazam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari