Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Bana Bana kar jo duniya mitayi jaati hai

Ghazal Shayari

Bana Bana kar jo duniya mitayi jaati hai
Jaroor koi kami hai jo payi jaati hai

Jab koi ajnabi aata hai unki mehfil mein
Ek shama us dam jalayi jaati hai

Jala kar shama woh forun bujha bhi dete hain
Dhuyein ki taraf phir ungli uthai jaati hai

Dhuyaan dikha kar kehte hain woh aane wale se
Ki aashiqon ki yeh haalat banayi jaati hai



Meri kismat ka chamkta hua sitara hoga

Ghazal Shayari

Meri kismat ka chamkta hua sitara hoga
Is per likha naam sirf tumhara hoga

Meine soocha tha mujhe tera sahara hoga
Lekin maloom na tha ke door kinara hoga

Mujh ko ye ghum nahin doobi meri kashti lekin
Paar toofan ne to kisi ko utara hoga

Jab teri shehr-e-khamooshi per padi hongi nazarein
Naam le le kar to ne pukara hoga

Mein chala jaonga duniya se ye hasrat le kar
Band ankhon mein faqat tera nazara hoga

Kis ko maloom tha tameer se pehle
Bijli jis ghar per gire gi woh hamara hoga



Badar,do ankhen bohat dhond rahi hay tum ko

Ghazal Shayari

Badar,do ankhen bohat dhond rahi hay tum ko
chand ki chodwain tarekh hy opar dekho

Raat saoi hoi ranaiyon ny muje say kaha
hum tumhari hi ghazal hay kabhi hum ko bhi kaho

Chandi mai keh jati hy ahat jesy
hum bohat pass hay awaz na do,hum ko suno

Jis say umeed wafa ho gi wahi dukh dy ga
be wafa jan ke chaho jisy ab ki chaho

Os ki qudrat mai nai ruk ke koi baat seny
waqt awaz hy awaz ko awaz na kaho

Muntazir kab sy hay oraq-e kitab hasti
dil ka kuch ring karo noke qalam chomo

Ek awaz bohat kafi hy soty ke lieye
loog samjhy gay bany lety ho ab jaag pardo

Aaj kamry mai nay bethyna wala mosam
barf girny ki khabar garm hy ghar sy nikalo



Suraj shama sari rat jalo

Ghazal Shayari

Suraj shama sari rat jalo
subha lekin misal guncha hanso

Chand ka dagh dekhny walon
apny daman ke dagh bhi dekho

Chahe aknho ki roshni ly lo
ansowo,ajj raat bhar chamko

Aoo ek dosry ka gham banten
kuch hamri suno kuch apni kaho

Kon jany kaha bichard jai
rah tareek hy qareeb raho

Ye zameen mudaton ki piayasi hy
ansowo dil par toot  kar barso

Waqt so munsafo ka munsaf hy
waqt aye ga intaizar karo

Chasm mangy hy aj dil ka laho
Badar sahab ka koi shair pardho



Kis dais may ye qafla waqt ruka hy

Ghazal Shayari

Kis dais may ye qafla waqt ruka hy

aarz ke jaly may zulfaon ki ghata hy

 

Khuch meri nighaon ke talay dhond bohat hy

kuch jashan chargha sy andhera bhi barda hy

 

May ny teri baton ko kabhi jhoot kaha tha

es juram pay har jhoot ko such maan liya tha

 

Ay shokh ghazalon, yahan do phal to rakh do

es qabar may khawabeda mohabat ka khuda hy

 

kuch dsair may salon ki ye ahat na miley gi

dil raat ke sannaty may doob raha hy

 

 

 

 



Es zakhmi piyasay ko es tarah pila dena

Ghazal Shayari

Es zakhmi piyasay ko es tarah pila dena

pani say bhara shesha phattar pay gira dena

 

En patton ny garmi bhar hameyn saye may rakha

ab toot kar girty hay behtar hy jala dena

 

Choty qado qamat pay mumkin hy hansy jungle

ek paird bohat lamba hy os ko gira dena

 

Mumkin hy es tarah wehshat may kami aye

Khawabeda parindo par ek goli chala dena

 

Ab dosron ki hkusyan chupny lagi ankho may

ye balb bohat roshan hy es ko bhuja dena

 

 

 



Hum ko bhi apni moot ka pora yaqeen hy

Ghazal Shayari

Hum ko bhi apni moot ka pora yaqeen hy

par dushmano ke mulak may ek muba-e habeen hy

 

Sir pay khardy hay,chand sitary bohat magar

insan ko jo bojh uthay zameen may hy

 

Ye akhri chargh osi ko bujhany do

es basti may wo sab sy ziada haseen hy

 

takye ke nechy rakhta hy tasveer ki kitab

tahrero guftago may jo itna muteen hy

 

Yaroon ny jis pay apni dukain sajain hay

khusbo bata rahi hy,hamari zameen hy

 



Urdti kirno ki raftar tez tar, neely badlon ke ek gaon may jain gay

Ghazal Shayari

Urdti kirno ki raftar tez tar, neely badlon ke ek gaon may jain gay

dhoop mathy pay apny saja lain gay saey palkon ke pechy chupa lain gay

 

Baraf par tairty roshni ke badan, chalti ghardyon ke do soinyo ki tarah

dairy may sada ghomny ke lieye aey aeini mehwaron may jardy jain gay

 

jab zara sham bay takaluf hoi,bargazeeda farishton ke par bich gay

raat ke taip suraj baja dy agar,mom ke paak chehry pighal jain gay

 

Surami hadyon,khaki ashjar ny lootny  walon ka kher makhdam kia

hum ny tu ye suna tha ke un logo par chand tary boaht phool barsain gay

 

Mukhtalif peech may ek kisi shakisiyat,yad ka phool ban ke bikhar jain gay

dhoop day taptapay howay hath jab,neem ke phool jab sardkon par barsain gay

 



Kabhi Meharban Tha Tu Kabhi Anjan Tha

Ghazal Shayari

Kabhi Meharban Tha Tu Kabhi Anjan Tha.
Mera Wehem Tha Ya Woh Mera Guman Tha.
Dey Kar Zakham Woh Marham Rakhta Tha.!
Ban Raha Tha Ya Waqai Woh Itna Nadan Tha.
Mujh Sy Bichar Gaya Tha Woh Ek Raat.!
Woh Shakhs Ju Kal Tak Meri Pehchan Tha,
Kash K Woh ban Jata Hamara Hamdam.!
Kitna Dil Ko Es Baat Ka Arman Tha.
Khuda Ko Chahtey Itna Tu Kuch Mil Bhi Jata
HamNy Chaha Jis Ko Afsos wo ik insan tha.. <\3



Dehakty nezon sy ye rat war kar dy gay

Ghazal Shayari

Dehakty nezon sy ye rat war kar dy gay

saja ke chand ki kashti may mera sir dy gay

 

Chardy ga sokhy ga badan may laho ka fowara

ye surakh chandni khali galas bhar dy gi

 

Ye naram billi jo soi hy mery seny par

may so hi gia tu kaleeja hi chak kar dy gi

 

Badan ke paird khud es ki shakh katy gi

yahi tarash zamee-n ko nia shajar dy gi

 

Bahar ab ke laho chardhy samundar ko

qalam kieye howay bazo bareeda sir dy gi

 

Osi khiyal sy phattar hy beech pani may

koi tu moj-e gohar ki osy khabar dy gi

 

Tawafe daira ab pehli bar tota hy

ye rehgizar hamey ek or rehgizar dy gi

 

Chardha ke peeth pay bakri ke bachy ghomey gy

ye dunya ab hamey sarkas ka shair kar dy gi

 

 

 


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari