Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Sabaz pattey ki ye aag jab pi jain gy

Ghazal Shayari

Sabaz pattey ki ye aag jab pi jain gy
ujaly far ke koot pehny halky jardy aye gy

Geely geely mundaron mai baal kholy devyan
sochti hay en ke surakh devta kab aye gy

Surakh,neely chand sitary dortain hay baraf mai
kal hamri tarah ye bhi dhond mai kho jain gy

Din mai daftar ka qalam,mil ke machiney sab hay hum
raat aye gi tu palkon pay sitary ayen gy

Shaam tak mela hy pagal,paird panchi kis ke meet
apni pani bolyan sab bol kar urd jain gy

Dil ke en baghichon farishton ko saradk par jany do
bach gay tu shaam tak ghar loot kar a jain gy



Muje bholay kabhi yad kar ke raoye bhi

Ghazal Shayari

Muje bholay kabhi yad kar ke raoye bhi
wo apny ap ko bikhery or peroy bhi

Shumar ho na saky hum chamakny walon mai
badan bhi miltey rahe.rooz kaprdy dohey bhi

Bohat gubar bhara tha dilon mai dono
magar wo ek hi bistar pay raat soye bhi

Bohat dino sy nahaey nahi hay angan mai
kabhi tu rahe ki barish hamey bigoey bhi

ye tum sy kis ny kaha raat sy mai darta ho
zaroor aye mery bazoon mai soye bhi

yaqeen janye ehsas tak na ho ga hamey
nason mai soinyan koi agar choboye bhi



Chal musafir,battiyan jalny lagein

Ghazal Shayari

Chal musafir,battiyan jalny lagein
asmani ghantiyan bajny lagi

Khil raha hy sham ka kalaam gulaab
zard sokhi pattiyan jhardny lagi

Raat ek talaab ke aeyny mai
jhilmilati kashtiyan jalny lagi

Band kar lo dar,dareechy,khirdkiyan
phir hawa mai sitiyan bajny lagi

Shakh thi kamzoor shahid es lieye
patiyon par pattiyan marny lagi

Dorteain hay phol bastiyon ko dabay
paon paon titliyan chalny lagi



Zameen sy anch zameen tord kar nikalti hy

Ghazal Shayari

Zameen sy anch zameen tord kar nikalti hy
ajab tashnagi en badlon sy barasti hy

Hamary ehad mai nayab hy bachaey raho
tumhari aknh mai ek cheez jo chamakti hy

Siron pay dhoop ki ghardi uthay phirty hay
dilon mai jin ki bardi sard raat hoti hy

Khardy khardy mai safar kar raha ho barso sy
zameen aon ke nechy kaha teharti hy

Pighal rahi hay chattaney naheef bahon mai
badan mai piyar ke kesi ajeeb garmi hy

Hawa ke ankh nai,hat or paon nahi
esi lieye wo sabhi raston pay chalti hy



Suraj makhi ke galon pay taza gulab hy

Ghazal Shayari

Suraj makhi ke galon pay taza gulab hy
ye mera aftab hy,mera mehtab hy

har tazah-kapkapatey hoye honto ki dua
ye asman hamd-o-sana kia kitab hy

Badal hawa ki zad may baras ke bikhar gy
apni jaga chamkta howa aftab hy

Chonkey tu ye talism jaha toot jai ga
alam tamam halqa-e-zanjeer hy

nahaq khiyal karty ho dunya ki bat ka
tum ko kharab jo kahey wo khob kharab hy

sab rishtey loot jatey hay bargy bahar ke
urdna hawa ke doosh pay kesa azaab hy



Soye shajar laraz uthy jesy ke dar gy

Ghazal Shayari

Soye shajar laraz uthy jesy ke dar gy
kuch chandi ke phool zameen par bikhar gy

Sheshy ka taj sir pay rakhe a rahi thi raat
takrai hum sy chand sitarey bikhar gy

Wo khushk hont rait sy nam mangtey rahe
jin ki talsah mai kai darya guzar gy

chaha tha mai ny chand ki palkon ko choom lo
honton pay mery suhbo ke tary bikhar gy

Mery labon pay chand ke qashen laraz gy
ankhon pay jesy raat ke geso bikhar gy

Sahil pay ruk gy thy zara dair ke lieye
ankhon sy dil mai kitny samundar utar gy

Jin par liki hoi thi mohabt ki dastan
wo chak chak purzy hawa mai bikhar gy

Paya jo muskuraty howay keh uthi bahar
jo zakham pichly sal lagaey thy bhar gy

jin par likhi hoi thi mohabt ki dastan
WO chaak chaak purze hawa mai bikhar gy



Hum sy musafiron ka safar,intizar rahy

Ghazal Shayari

Hum sy musafiron ka safar,intizar rahy
sab khirdkiyon ke samny lambi qatar hy

Chamkeli sabaz ankhen bohat door ja saken
kin ghantiyon ka raston ko intizar rahey

Banson ke junglon mai wahi bo mili
jin ka hamari bastiyon mai karobar hy

Awaz phard phrda ke wahi dafan ho gy
seeny mai galiban koi bijli ka taar hy

Sujraj bareedah sir hy zameen ke shaheed ka
ye dhoop es ke zard badanki bahar hy

Kis roshni ke shehar sy guzren hy taiz roo
neely samundron pay sunhera gobar hy

Ayi nida,wo urdten sitary udhar murdey
en badliyon ke pechy kohisar hy



Wo piyar sy jhonky bohat piyar sy loot jaty

Ghazal Shayari

Wo piyar sy jhonky bohat piyar sy loot jaty
jo door door sy badal urda ke laty thy

Koi libas ny dil ke be libasi ka
agarcha roz nai charen chardhaty hay

Sitarah ban ke bhatkey hay sari sari raat
jo wada kar ke wafa karna bhool jaty hay

Tera sakoot abhi aksar tahaiyar naghma
kamosh reh ke bhi ye hont gunguntey hay

Mai din ho meri habben par dukhon ka suraj hy
Deye tu raat ki palkon par jhilmiltay hay

Gulaab sa ye badan kia hawaye dard mai tu
ghany darkaht ke jungle mai sokh jaty hay

Khosha ye qadar tu hy us udas nasal ke pass
Udas bhi jo na hon gy wo loog aty hay



Raat ke samundar mai doob gay shaam

Ghazal Shayari

Raat ke samundar mai doob gay shaam
mery bhi seeny mai aye meri shaam

badal thy kamray mai bikhary pardy
bistar pay laiti hoi thi thaki hoi shaam

Band kieye bethy howay thy yadon ka ghar
darwaza khol kar chali gy shaam

Saray badan ka tanao fiza mai sham
kesi kesi kaprdy mai phansi hoi shaam

Taron ki ankhon mai kirno ke neezy
suraj ke seeny mai chupi hoi shaam

Thakey thakey pedal ke beech chaley suraj
ghar ki taraf loti daftar ki shaam



Gaon chorda tu kai ankhon mai jal phela

Ghazal Shayari

Gaon chorda tu kai ankhon mai jal phela
shehar pohancha tu kesi mathy pay jhomar jhoma

Zindagi tu ny mujhe maar liya tha lekin
ye tu mai tha ke tery zindon sy behtar hi jia

AB milay hum tu kai loog bichard jain gy
intizar or karo agly janam tak mera

wo tu insan thi tery yad ki mehwiyat mai
daro dewar ko seny sy laga kar choma

Ajj ki sham dobara na kabhi aye gi
aj ki sham ye mat soch ke kal kia hoga

Dukh bhara piyar samundar ke tarah lamehdood
gamzadah husan,rawan pani mai ghulta sona

Mery haton sy kabhi chota tha ek aeyna
umar bhar jin ko meri ankho ny palkon sy chuna

Raat kamoshi dil chaa gai jab dunya par
koi bola tha bohat paas wo tum thy ke khuda

Khobsurat hy bohat piyar ki khushfehmi bhi
band palkon ko tery honton ny jesy choma


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari