Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Dil ko magar pehla sa qaraar bhi nahi

Ghazal Shayari

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Talaash kar rehzano ke beech gham khawaro ko
Tere shehar ke sabhi loag adakaar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia ghala mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de gaye ab uss ko
Aye dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Malazmo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

” Hasnain ” Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana’a ki deewar bhi nahi



Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se..

Ghazal Shayari

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,

Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,

Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,

Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,

Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..



Yaad ro ro ke teri satati rahi

Ghazal Shayari

Yaad ro ro ke teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi

Aandhiyan jab guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi

Apni mohabbat ki nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi

Woh doosron se has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi

Hum wafa jinse karte rahe umar bhar
Hum pe unki jafa muskurati rahi

Shayad kusur meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi



Meri aankhon main Ansu aaye na hote

Ghazal Shayari

Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,

Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,

Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,

Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….



Tujhay Kiya Khaber aiy hum-nashin

Ghazal Shayari

Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon main dhal gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy

by Shaukat Ali Khan



Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun…

Ghazal Shayari

Mein Jab Hawa Ke Iraadon Ko Jaan Leta Hun
Laray Bagair Hee Phir Haar Maan Leta Hun

Giro Ki Yaad Anghootay Se Aanay Lagti Hai
Mein Jub Bhee Haath Mein Teer-o-Kamaan Leta Hun

Fizaa-e-Sheher Se Aati Howi Hawaaon Ko
Mein Saans Lenay Se Pehlay Hee Chhaan Leta Hun

Baray Sukoon Se Aksar Zameen Ke Bistar Per
Ab Aasmaan Ki Chaadar Bhee Taan Leta Hun

Ye Aur Baat Ke Poora Koi Nahee Hota
Hamesha Azam Koi Dil Mein Taahn Leta Hun

Ye Waaqiya Hai Ke Naaqaam Rehta Hun Aksar
Mein Jub Bhee Apna Koi Imtehaan Leta Hun



Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa

Ghazal Shayari

Maskan-e-maah-o-saal chhor gayaa
Dil ko us kaa khayaal chhor gayaa

Taazah-dam jism-o-jaan the furqat men
Vasl us kaa nidhaal chhor gayaa

Ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal
Aik viiraan haal chhor gayaa

Zaala-baarii ke marhalon kaa safar
Qaafile, paayemaal chhor gayaa

Dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho
Kaun thaa , kyaa malaal chhor gayaa

Main bhii ab khud se huun javaab-talab
Vo mujhe be-savaal chhor gayaa

(maskan:abode)(maah-o-saal:months and years)(taazah-dam:fresh)(jism-o-jaan:body and soul)(furqat:separation)(vasl:meeting)(nidhaal:exhausted)(ahd-e-maazii:time of past)(purhaal:eventful)(ahd-e-maazii:time of past)(purhaal:eventful)(zaala-baarii:hailstorm)(marhale:stages)(paayemaal:devastated)



Aisa nahi k humko mohabat nahi mili.

Ghazal Shayari

Aisa nahi k humko mohabat nahi mili,
Haan jesay chahtey thay wo qurbat nahi mili,

Milnay ko zindagi mai kayi humsafar milay,
Lekin tabiyatton say tabiyatt nahi mili,

Chehron kay har hajoom mein hum dhondtay rahey,
Surat nahi mili tu kahin seerat nahi mili,

Wo yak-ba-yak mila to bohat dair tak hamien,
Alfaaz dhoöndnay ki bhi mohlat nahi mili,

Har shakhs zindgi mai bohat dair se mila,
koi bhi cheez hasb-e-zaroorat nahi mili.



Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha

Ghazal Shayari

Wo piyar ka saboot dikhaya karta tha
Aansoo baha kr mjhe manaya krta tha

Ye zindagi sirf tum se wabasta hai
Aksar ye baat mjhe bataya karta tha

Us ki baton mein kuch aisa asar tha
Mein barish k bina he bheeg jaya karta tha

Soney ki fursat kis ko the
Wo mjhe sari raat jagaya karta tha

Bechaini jab had se barh jati the
Wo ji bhar k galae lagaya karta tha

Wo itni muhabbat krne wala badal gaya
Jo sath nibhane ki qasam khaya karta tha



Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye

Ghazal Shayari

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,

Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,

Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,

Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,

Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari