Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Teri muthi mein meri zindagi hai.

Ghazal Shayari

Teri muthi mein meri zindagi hai,
Meri aankhon mein teri roshni hai,

Sar-e-shaam firaaqe jane janaa,
Ke jese rooh sholon mein jali hai,

Tumhare sath bhi thi be-sakooni,
Tumhare baad bhi be-kali hai,

Datte hain apni apni zid pe dono,
Anaa raah mein deewaar si khari hai,

Mohabbat ki hai bas itni kahani,
Safar asaan hai, Manzil karri hai..

(be-kali;unease)(sholon;fire)



Hum bhi maqrooz hain samandar ke..

Ghazal Shayari

Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar,
Hum bhi maqrooz hain samandar ke,

Aankh k gird maatmi halqey,
Saaye jaisey jaley hue ghar ke,

Dosto’n ki zubaa’n to khulney do,
Bhool jao gay zakhm khanjar ke,

Chaand bhi zard par gya aakhir,
Ujrey aangan main roshni kar ke,

Aankh num bhi karo to bus itni,
Rang pheekey parein na manzar ke..



Mera naam tak jo na ley saka

Ghazal Shayari

Mera naam tak jo na ley saka
Jo mujhe Qarar na dey saka

Jisey ikhtiyaar to tha magar
Mujhe apna pyaar na dey saka

Wohii shakhs merii talash hy
Wohii dard merii hayat hy…

Jo Chala gaya mujhe chhor kar
Wohii aaj tak mere pass hy..



Yun Koi Chhor Diya Karta Hai Apna Karke

Ghazal Shayari

Yun Koi Chhor Diya Karta Hai Apna Karke ?
Tum Ne Tou Maar Dia Mujhe Tanha Karke

Ek Nazar Daal Kubhi Mere Maseeha Mujh Per
Tera Kia Jaaye Ga Beemaar Ko Acha Karke ?

Ay Mohabbat Ke Maraahil Se Guzarnay Waalay
TU Ne Aansuu Kubhi Dekha Hai Sitaaray Karke ?

Mein Bohat Jald Tujhe Bhanwar Mein Yaad Aaonga
Itna Khush Baash Na Reh Mujh Se Kinaara Karke



Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di

Ghazal Shayari

Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmaanay Ki Intehaa Kardi

Teer Tohfay Mein Bhej Kar Osne
Zulm Dhaanay Ki Intehaa Kardi

Chonk Kar Naam Poochnay Waalay
Bhool Jaanay Ki Intehaa Kardi

Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukaanay Ki Intehaa Kardi

Dil Ko Nasoor Kardlia Aakhir
Ghaao Khaanay Ki Intehaa Kardi

Phir Palat Kar Kubhi Nahee Dekha
Osne Jaanay Ki Intehaa Kardi

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi

Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa Batool
Raakh Uraanay Ki Intehaa Kardi



Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha..

Ghazal Shayari

Hua Jo Kuch’ Bhulana Chahiye Tha,
Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha,

Ye Saara Bojh Mere Sir Pe Kiyon Hai,
Usay Bhi Gham Uthana Chahiye Tha,

Kis Qadar Guroor Tha Mujhe Us Per,
Pyar Se Beth Kar Manaana Chahiye Tha,

Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta,
Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..



Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka

Ghazal Shayari

Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka

Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka

Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka

Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka

Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka

Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka



Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay

Ghazal Shayari

Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ?
Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ?

Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay
Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ?

Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi
Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ?

Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di
Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ?

Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se
Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ?

Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai
Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ?

(inhesaar;depend)



Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahee Milti

Ghazal Shayari

Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahee Milti
Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahee Milti

Dil Jal Gayaa Ab Os Mein Dhuwaan Tak Nahee Uthta
Os Raakh Se Tasweer Puraani Nahee Milti

Izhaar Pe Taalay Hain Tou Taalay Hee Samajhna
Har Likhi Howi Baat Zabaani Nahee Milti

Jo Maango Muqaddar Se Hamain Wo Nahee Milta
Is Dour Ke Raaja Ko Bhee Raani Nahee Milti

Baaqi Nahee Khaaron Mein Bhee Pheli Si Chubhan Ab
Aur Phoolon Pe Pheli Si Jawaani Nahee Milti

Socha Tha Kisi Shaam Suhaani Ko Milain Ge
Aur Shaam Hamain Koi Suhaani Nahee Milti

Kaisay Mein Yaqeen Os Ka Karuun Os Mein Tou Ek Bhee
Chaahat Ke Qabilay Ki Nishaani Nahee Milti



Jo chala gaya woh chala gaya..

Ghazal Shayari

Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya

Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya

Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya

Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya

Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya

Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya

Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya

Shaukat Ali Khan


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari