Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se

Ghazal Shayari

Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se
Namaaz-e-Ishq Bohat Kam Adaa Howi Hum Se

Ghareeb Aankhon Mein Aansoo Bhi Ab Nahi Aatay
Ilaahi Reham Ke Phir Kia Khataa Howi Hum Se ?

Hum Ibtadaa Hee Kahan Naikyon Ki Thay Ya Rab ?
Tou Phir Gunaahon Ki Kiun Intehaa Howi Hum Se

Ye Bad-Naseebi Hamaari Hai Kam Howa Aisay
Ke Dushmanon Ke Bhi Haq Mein Duaa Howi Hum Se

Salook Mout Ka Hum Se Na-Jaanay Kaisa Ho?
Ye Zindagi Tou Bohat Be-Mazaa Howi Hum Se

Kahaan Chhupaayein Ge Mehshar Mein Khud Ko Aazar ?
Kahaan Ataa’at-e-Khair-ul-waraa Howi Hum Se ?



Gham Gusaron Ka Kya Bharosa..

Ghazal Shayari

Gham Gusaron Ka Kya Bharosa,
Be-Saharon Ka Kya Bharosa,

Chap Ke Baadal Ki Aot Mein Ro Lein,
Chaand Taron Ka Kya Bharosa,

Jangi Kismat Hizaan Ka Bojh Bane,
In Baharon Ka Bharosa,

Kab Kisi Aur Se Ho Pyar In Ko,
Apne Pyaron Ka Kya Bharosa,

Kal Thi Shamsheer Jin Ke Hathon Mein,
Jaanisaron Ka Kya Bharosa..



Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay

Ghazal Shayari

Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay
Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay

Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa
Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay

Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai
Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay

Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal
Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay

Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn
Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay

Main Na Amjad Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe
Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay



Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy..

Ghazal Shayari

Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy
Hamara Chand Jab Hum Sy Khafa Hy

Jo Har Mayoos Lamhy Main Raha Hy
Wohi Is Baar Bhe Hamara Khuda Hy

Kisi Ky Ghar Ky Darwazy Sy Pahly
Hamara Dil Ka Drwaza Khula Hy

Usy Bus Daikhna, Phir Lout Ana
Wo Pathr Sy Tarasha Mootiya Hy

Na Jany Kia Hua Ab Ky Barishoon Main
Maira Ghar Shabnamoon Main Bah Gia Hy

Hamain To Raat Bhr Tu Yaad Aya
Tairi Ankoon Main Kaisa Rut Jagayahy

Bulai Tu Hamain Us Paar Koi
Hamary Pass Bhe Kacha Ghara Hy



Kyun Satatay Ho..

Ghazal Shayari

Meray Muskan Ke Chaukhat Per Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho
Qadam Laatay Nehi Aagaiy Kaho Ab Kyun Satatay Ho

Tumhari Chaap-e-paa Sunn Kar Hum Othh Kar Baith Jaatay Hain
Batao Neind Sai Hum Ko Tum Aisay Kyun Jagatay Ho

Abhi Tau Hum Nai Seekha Hai Furqat Main Saber Karna
Humaray Saber Ke Manzil Ko Itna Kyun Hilatay Ho

Tumhain Hum Sai Mohabat Hai Gila Hai Yaa Shikayat Hai
Ye Khud He Faisla Karlo Humain Kyun Aazmatay Ho

Bardi Mushkil Sai Rakha Hai Qadam Hum Nay Zamanay Main
Meray Mohsin Meri Koshish Ko Mushkil Kyun Banatay Ho

Sada Hum Nay Tumhari Zeest Mai Dhoondi Jaga Apni
Ab Apnay Dil K Derwazay Ko Khula Kyun Dikhatay Ho

Tumhi Nai Taud Dalaiy Thhay Subhi Rishtay Mohabat K
Na Mehrum Ban K Jeenay Ka Saleeka Kyun Sikhatay Ho

Shaukat Qaid Karlo Ab Khod Ko Tum Faseelon Main
Bheri Duniya Ko Apna Tum Tamasha Kyun Dikhatay Ho

By:- Shaukat Ali Khan



Sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey

Ghazal Shayari

Sach Kabhi Jo Ham Na Hongey Jaan Bohot Pachtaogey
Phir Zara Si Baat Par Apney Hi Aansu Main Beh Jaogey

Yaad Karogey Har Wo Pal Jo Saath Hmarey Guzra Tha
Dil Hoga Bechain Tumhara Chain Kahi Na Paogey

Saari Rasmain Saari Baaten Saari Duniya Saari Mehfil
Pal Pal Bujhta Dekhogey Pal Pal Jalta Paogey

Kis Tarha Larh Paogey Apney Un Veeraano Sey
Khouf Barheyga Phir Tumhara Khud Ko Tanha Paogey

Un Labo Ko Chu Leta Tha Aankho Main Beh Jaata Tha
Kon Mareyga Itna Tumpar Jesa Ki Main Mar Jata Tha

Zulf Tumhari Uljha Kar Main Raat Siyah Banata Tha
Rukh Tumhara Pa Kar PhiR Chaand Kahi Kho Jata Tha

Har Shaam Tumhaari Thi Mujsey Har Qissey Mere Jabtey They
Pal Pal Rutha Kartey They Pal Main Hi Man Jaatey They

Jab Yaad Karogey Saarey Qissey, Saari Baateyn, Saari Qasmain
Dil Tumhara Tooteyga Phir, Choor Choor Ho Jaeyga

Hardam Yaad E Teer Tumharey Dil Main Tees Uthaeyga
Kya Karogey Bolo Phir Tum Jab Kuch Nahi Ban Paeyga

By : Sufyan



Chnd ka tukrda na suraj ka nomainda ho

Ghazal Shayari

Chand ka tukra na suraj ka numainda hoon,
main ne os baat pay naza-n hon na saharminda hoon,

Dafan ho jai ga jo saikrdon man matti main,
Galbannn main bhi usi shehar ka badshah hoon,

Zindagi to mujhe pehchan na pai lekin,
log kehty hain ke main tera numainda hoon,

Tan pay kapry hain qadamat ki ilamat or main,
sir barhana yahan aa jany pay sharminda hoon..



khufta shajar larz uthy jesy ke dar gayi

Ghazal Shayari

khufta shajar larz uthy jesy ke dar gayi
kuch chandi ke phool zameen par bikhrey

Sheshey ka taaj sir pay rakhey a rahi thi raat
takrati hum sy chand sitarey bikhar gayi

Wo khushak hont rait sy nuum mangtey rahe
jis ke talash mai kai darya guzar gayi

Chaha tha mai ny chand ke palkon ko choom lo
honton pay mery subha ke tary bikhar gayi

Mery labon pay chand ki qashain laraz gayi
Ankhon sy dil mai kitny samundar utar gayi..



Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi..

Ghazal Shayari

Mere Aesaab Mein Ik Jo Fariyad Thi, Woh Teri Yaad Thi,
Aur Wehm-o-gumaan Jo Abaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Mujh Pe Taari Raha Us Ka Ehsaas Baad-e-sabaa Ki Tarah,
Aesa Lagta Hai Jese Chaman-zaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Ab Ke Yoon Bhi Hua Ke Safar Ne Mujhe Raasta Na Diya,
Faasilon Se, Hadhon Se Jo Azaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Mere Ehbaab Ne Bhi Kabhi Na Kiya, Woh Mera Zikr Tha,
Tere Ashaaq Ke Lab Pe Fariyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Marhalaa Koi Tou Aaye Tajdeed Ka, Phir Teri Deed Ka,
Shaam Mehboos Thi, Soch Barbaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Kuch Bhi Karne Ko Gar Thaan Lain To Humain Bi Kuch Parwah Nahin,
Mere Fikr-o-amal Ko Jo Seyaad Thi, Woh Teri Yaad Thi,

Apne Baarey Kabi Sochte Taaj Hum Bhi Majboor They,
Hum Ne Majnoon Kiya Aik Iftaad Thi, Woh Teri Yaad Thi..

(aesaab;thoughts)(ehbaab;relatives)(marhalaa;phase)(mehboos:sad)(seyaad;suited)(ashaaq;lover)



Tu Ne Jo Khwaab Tor Daalay Thay..

Ghazal Shayari

TU Ne Jo Khwaab Tor Daalay Thay
Mein Ne Mushkil Se Wo Sambhaalay Thay

Phool, Khushbu, Udaasian, Sapnay
Ye Meri Zaat Ke Hawaalay Thay

Osko Jaldi Thi, Chal Dia Warna
Kaalay Baadal Tou Talnay Waalay Thay

Un Ke Tewer Badal Gaye Kaisay ?
Wo Tou Duniya Badalnay Waalay Thay

Dost Aisay Dehaan Mein Aaye
Aasteen Mein Jo Palnay Waalay Thay

Takht Ke Saath Jo Milay Saathi
Bakht Ke Saath Dhalnay Waalay Thay

Koh-e-Kun Ko Yaqeen Tha Pathar Se
Naram Chashmay Nikalnay Waalay Thay

Ek Pal Mein Badal Gaya Manzar
Ham Abhee Aankh Malnay Waalay Thay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari