Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi

Ghazal Shayari

Sari dunya ke riwajon se adawat ki thi.
Tumko yad he jab maine ye hamaqat ki thi.

Use raazdan smajh kar bataya tha haal-e-dil apna.
Par us shakhs ne meri zaat se baghawat ki thi.

Jab kisi ki yadon ne ankhon ko bhigoya tha meri.
Mane ik naam ki tasbeeh pe tilawat ki thi.

Us ko chor ke hanste hoye ghar aa ke.
Itna roye the ke ankhon ne qayamt ki thi.

Mere ujarne ka sabab jab bhi kisi ne pucha to.
Mane bas itna hi bataya ke muhabbat ki thi.



Meri Ulfat, Wafa, Sab tere waastey…

Ghazal Shayari

Meri ulfat wafa sab tere waaste,
Rahaton ki dua, Sab tere waaste,

Haal-e-dil se mere kab tu waakif na tha,
Phir bhi jo kuch likha, Sab tere waaste,

Tere aashiq nikle pata dhoondne,
Hain wohi la-pata, Sab tere waaste,

Yeh andhera, Seyahi mujhe somp de,
Rang-e-Qos-e-Qaza, Sab tere waaste,

Bass ke apnayiyat ka agar jaam ho,
Tou mere saaqiya, Sab tere waaste,

Aere-Ghere jo they kuch mere aaashna,
Woh taluq bhi tha, Sab tere waaste,

Aaj Tahir ne apno ka rakha bharam,
Kis liye aye Khuda, Sab tere waaste…



Ankh roney ki shiddat se laal thorhi hai??

Ghazal Shayari

Ye aaankh roney ki shiddat se laal thorhi hai??
Malal hai magar itna malal thorhi hai??

Bus apne wastey hi fikr-mand hain sab log..
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai??

Paron ko kaat dia hai urhan se pehle..
Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai??

Maza to jab hai k haar k bhi hanstey raho..
Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai??

Lagani parhti hai dubki ubharney se pehley..
Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai??



Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta..

Ghazal Shayari

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..

Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..

Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta ….!



Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon..

Ghazal Shayari

Koi Dhun Ho, Main Tere Geet Gaaye Jaaon
Dard Seene Mein Uthe Shor Machaye Jaaon,

Khawab Ban Kar Tu Barasta Rahe Shbnam Shabnam
Aur Bas Mein isi Mosam Mein Nahaaye Jaaon,

Tere Rang Utarte Chale Jaayen Mujh Mein
Khud Ko Likhon Teri Tasveer Baanye Jaaon,

Jis Ko Milna Nahi Pher Is Se Muhabat Kaisi
Sochta Jaaon Magar Dil Mein Basaaye Jaaon,

Tu Ab Is Ki Jis Par Mujhe Piyar Aata Hai
Zindgi Aa Tujhe Seene Se Lagaaye Jaaon,

Yehi Chehre Mere Hone Ki gawahi Denge
Har Naye Harf Mein Jaan Apni Samaaye Jaaon,

Jaan To Cheez Hai Kiya Rishta-e_Jaan Se Aage
Koi Awaaz Diye Jaaye Aur Main Aaye Jaaon,

Shayad Is Raah Pe Kuch Aur Bhi Rahi Hain
Dhoop Mein Chalta Rahoon Saaye Bechaaye Jaaon,

Ehl-e-Dil Honge To Samjhenge Sukhan Ko Mere
Bazm Mein Aa Hi Giya Hoon To Sunaaye Jaaon.



Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko

Ghazal Shayari

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko

Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko

TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko

Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko

Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko



Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona

Ghazal Shayari

Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona
Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujhaa kar Soona,

Ek Sitara Bhi Mere Khayal ka Baqi Na Rahe
Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona,

Darr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Cheen Na Le
Tera Yeh Roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona,

Baad Main Log Gira Dain Tu Koi Baat Nahi
Har Taraf Piyar Ki Deewar Utha kar Soona,

Bhool Jaaoge Zamanay Kay Sabhi Ranj-o-Alam
TUm Meri Baahoon Ki Zanjeer Mein Akar Soona,

Subah Hote Hi Tere Saher Sat Jaana Hai Mujhe
Aaj Ki Raat Zaraa Muj Ko Mitaa kar Soona,

Yaad Hain Aaj Bhi Woh Qarb Ki Ghariyaan
Uski Agoosh Main Sir Apna Chupa Kar Soona



Jisay aks aks ganva diya

Ghazal Shayari

Jisay aks aks ganva diya,
Kabhi rubaru thi mere liye,
Jisay naqsh naqsh bujha diya,
Kabhi char-su thi mere liye,
Jo had e hawa say bhi door hai,
kabhi kubaku thi mere liye,
Jo tapish hai moj e sarab ki,
Kabhi aabju thi mere liye,
Jisay AAP likhta hoon khat main ab,
Kabhi sirf tu thi mere liye..

(char-su:all around)(kubaku:everytime)



Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum

Ghazal Shayari

Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Baar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein

Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein

Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein



Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein..

Ghazal Shayari

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,

Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men,

Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men,

Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ??
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??

Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men,

Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ??
Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ??

Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urne Lagti Hain “Shamsheer” Titliyaan Mujh Mein.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari