Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala

Ghazal Shayari

Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar Kar Daala

Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala

Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala

Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ???

Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala

Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala

Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala

Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala

Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?

Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!



Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala

Ghazal Shayari

Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala
Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Aur Kitnay Diye Jalao Ge ?
Ghar Ko Tum Ne Mazaar Kar Daala

Phir Hawaaon Se Dosti Karli
Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala

Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka
Tum Ne Kaarobaar Kar Daala

Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho
Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ???

Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya
Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala

Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai
Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala

Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko
Zindagi Mein Shumaar Kar Daala

Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay
Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala

Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool
Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ?

Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool
Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!



Jo khawb tumhare hi dekhti hain..

Ghazal Shayari

Jo khawb tumhare hi dekhti hain,
Abhi meri woh ankhain baaki hain,

Suno, Mohabbat mar nahin sakti,
Ab tak bikhri sansain baaki hain,

Thak gaye abhi se ho tum kaise,
Hijar mein katni ratain baaki hain,

Ik baar humain phir se milna hai,
Abhi adhoori kuch batain baaki hain,

Hisaab ratjagon ka rehne de Aashir,
Ke shidtain aur chahtain baaki hain..



Chalo Phr Dhoond Lein Hum, Usi Masoom Bachpan Ko..

Ghazal Shayari

Chalo Phr Dhoond Lein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!

Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!

Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!
Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!

Jahan Bus Muskurahat Thi!
Baharein Hi Baharein Thi!

Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!

K Jab Sawan Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!

Bana’na Aur Duba Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!

Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha



Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye

Ghazal Shayari

Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye
Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye,

Us Ne Pyaam Bheje To Raste Mein Reh Gaye
Hum Ne Jo Khat Likhe Woh Hawaa Burd Ho Gaye,

Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon?
Shbnam Badast Log To Kaante Chabho Gaye,

Anchal mein Phool Le K Kahaan ja Rahi Hoon Main
Jo Aane Waale Log Thay, Woh Log To Gaye,

Kiya Jaane Ufaq Kau Udhar Kiya Tilsam Hai
Laote Nahi Zameen Par Ek Baar Jo Gaye,

Woh Bachpane Ki Neend To Ab Khawab Ho Gai
Kiya Umar Thi K Raat Howi Aur So Gaye,

Kiya Dukh Thay, Kon Jaan Sakega Nighar-e-Shab
Jo Mere Aur Tere Dopattay Bhego Gaye.



Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon

Ghazal Shayari

Beeti huyi ruton mein kho sa gaya hoon,
Chale aao ke teri yaad mein mar sa gaya hoon,

Teri kalaam karti ankhen, Tera muskurata chehra,
Un ki deed ko ab mein taras sa gaya hoon,

Woh aik pal ka milna dushwaar kar gaya mujhko,
Ke bagher ab tere mein toot sa gaya hoon,

Tere bicharne ki duhaayi doon ya bhula doon tujhko,
Tujhe yaad karte karte ab thak sa gaya hoon..



Bhulaa Daitey Hain..

Ghazal Shayari

Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain
Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain

Taur laitay hain ik pal main sub rishtay natay
Sadiyun ke rafaaqat ko bhoola daitay hain

Tukray kartay hain mohobat ke tehreeron ke
Dooor ja k kehin paani main baha daitay hain

Ana k naam per behen ore beti ko bhe
Aag main jhoonk kar zinda jala daitay hain

Jurm tau jurm hay wo chahay mohobat ka ho
Loog nishaana khhaloos ko bhe bana daitay hain

Jin pay kartay hain wafaaon ka bharosa hum
Dost bun k rustay main daghha daitay hain

Tum kahan yaad rakho gaiy humain ibn-e-aadam
Hum tumhain apnay dil main jagah daitay hain

Jab ye likhtay hain mohobat ke kahani shaukat
Shama kee chah main perwana jala daitay hain

by : Shaukat Ali Khan



Woh Ziddi Tha Bohat Magar! Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha…

Ghazal Shayari

Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!

Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!

Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!

Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!

Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha

Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha..



Mein gurez kya karta us ke sath chalne se

Ghazal Shayari

Mein gurez kya karta us ke sath chalne se,
Zakham to nahin bharta raaste badalne se,

Ishrat shabana to yaar ki razaa se hai,
Yeh khushi nahin milti sirf sham dhalne se,

Aarzuu ki chingaari kab tak sulag sakti,
Bujh gaya hai dil akhir bar bar jalne se,

Zindagi ka har mohra be-rukhi ke rukh par hai,
Yeh bisaat ultey gi aik chaal chalne se,

Doobta hua suraj kya mujhe ujaaley ga,
Main chamak uthoon shayed chand ke nikalne se..



Main us ki aahatain chun loon…

Ghazal Shayari

Main us ki aahatain chun loon, Main us se bol kar dekhoon,
Gali mein kon phirta hai, Dareecha khol kar dekhoon,

Yoon hi shayed tasalli ho meri hastaa mizaaji ki,
Main apni khaak hi koye hunar mein rol kar dekhoon,

Na woh awaargi mujh mein, Na woh aashqui mujh mein,
Main kis meyaar pe apni wafaa ko tol kar dekhoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari