Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Main azal ki shaakh se toota hua

Ghazal Shayari

Main azal ki shaakh se toota hua,
Phir raha hoon aaj tak bhatka hua,

Dekhta rehta hai mujhe ko raat din,
Koi apne takht per betha hua,

Chand taare dur peechey reh gaye,
Main kahan par agaya urta hua,

Band khirki se hawaa ati rahi,
Aik sheesha tha kahin toota hua,

Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per,
Saarey kamre mein hai woh phelaa hua,

Apne maazi ka samundar chaaniye,
Ik khazaana hai yahan dooba hua,

Doston ne kuch sabak aese diye,
Apne saaye se bhi hoon sehma hua,

Kis ki aahat atey atey ruk gayi,
Kis ne mera saans hai roka hua?



Behky behky hooye andaz-e-byan hoty hain

Ghazal Shayari

Behky behky hooye andaz-e-byan hoty hain
Ap hoty hain to phir hosh kahan hoty hain

Hont paband hain mafoom byan hoty hain
Koi samjhy to ye Aansu bhi zuban hoty hain

Yaad hai teri nigahon ka badalna mujh ko
Aisy andaz qyamat mein kahan hoty hain

Kyun shab-e-gham na jalaoon teri yaadon k chiragh
Un sy roshan meri manzil k nishan hoty hain

Gham hai baqi to kisi roz khushi bhi ho gi
Phool bhi khaak k pehlu mein jawan hote hain..



Muddat se jis k waastey dil beqarar tha

Ghazal Shayari

Muddat se jis k waastey dil beqarar tha,
Wo lout kr na aaya magr intzaar tha,

Jo humsafar tha chhor gaya raah main mujhe,
Mai phas gaya bhanwar main or wo darya k paar tha,

Manzil qareeb aai to tum door ho gaye,
Itna tou tum batao k ye kaisa pyar tha? ??

Deewar bana di ye kis ne dono k darmyan,
Na wo sukon se betha na mujhko qarar tha,

Ye baat umer bhar samajh na paya “mohsin”
Kiun dil mera us wafadr ka talbgaar tha..!



Ek Mohabat Hy Aur Uski Ek Nishani Hy

Ghazal Shayari

Ek Mohabat Hy OR Uski Ek Nishani Hy
Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy

Safar Raat Ka Hy OR Raat Bi Tufani Hy
Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy

Ibteda-e-Ishq Se Inteha-e-Ishq Tak
Main Hi Tha Bewafa OR Mainne Hi Wafa Nibhani Hy

Main Lot aya Hoon Manzil Ko Dekh kar
Yahan To Yadon ki Verani Hi Verani Hy

Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon
Kya koi manzil mera muqadar hy Ya yehi meri adhori kahani hy?



Tanha hai meri zaat kaheen se ajao

Ghazal Shayari

Tanha hai meri zaat kaheen se ajao,
Sun lo meri baat kaheen se ajao,

Dushman bazi jeet raha hai chupke se,
Hone ko hai maat kaheen se ajao,

Kachi entain our imarat garey ki,
Our us per barsat kaheen se ajao,

Dil ki basti per hai khof andheron ka,
Ho jaey na raat kaheen se ajao,

Kachi umerain us per khowab mohabat ke,
Kiya kiya hain jazbat kaheen se ajao,

Ankhen rasta dekh rahi hain mudat se,
gardish main hain halat kaheen se ajao,

Mosam mosam log badaltey hain ”khowahish”,
Dil pe r hain sadmat kaheen se ajao….



Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main

Ghazal Shayari

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main,
khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main,

tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh,
tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main,

bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan,
saugat aansuo ki liye ja rahi hun main,

ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye,
honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main,

murat teri tarash kar poojungi isliye,
pathar teri gali ka ek liye ja rahi hun main…



Yad karke mujhe taklif he hoti hogi

Ghazal Shayari

Yad karke mujhe taklif he hoti hogi,
Aik qisa hoon purana sa bhula de mujhko.

Doobte doobte awaz teri sun jaun.
Akhri baar tu sahil se sada de mujhko.

Main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin.
Main hoon sakte main kabhi aake rula de mujhko.

Dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah.
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko.

Roothna tera meri jaan lie jata hai.
Aese naraz na ho haske dikhade mujhko.

Aur kuch bhi nahi manga mere malik tujhse.
Uski galion main pari khak banade mujhko.

Log kehte hain ke ye ishq nigal jata hai.
Main bhi is ishq mani aya hun, dua de mujhko.

Yahi oqat hai meri tere jeevan main ke main.
Koi kamzor sa lamha hun. bhulade mujhko.



Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

Ghazal Shayari

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Hue uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
Toh na janay kon c cheez ki meri zindgi mein kami rahi?????????



Kuch aur seenay ko laal kar

Ghazal Shayari

Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar
Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para
Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar

Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha
Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar

Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila
Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar

Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura
Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar

Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar
Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar

Rehay charagar shaukat judda yunhi umer beeti khafa khafa
Ye rabt-e-ulfat ka khail thha na dil ko apnay nidhaal kar

by Shaukat Ali Khan



Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa

Ghazal Shayari

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa
Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa,

Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loongaa,

Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loongaa,

Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loongaa,

Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loongaa,

Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijr Mein Raaten Siyaah kar Loonga,

Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loongaa,

Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loongaa,

kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein “Akhtar”
Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loongaa.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari