Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai..

Ghazal Shayari

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai

Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai

Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?

Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai

Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai

Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hee Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai



Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai

Ghazal Shayari

Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai
TU Abhi Tak Dil-e-Veeran Mein Hai

Shor Barpa Hai Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijr Bayabaan Mein Hai

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai
Koi Zinda Dil Be-Jaan Mein Hai

Aaj Bhi Tere Badan Ki Khushbu
Tere Bhaijay Howay Guldaan Mein Hai

Zindagi Bhi Hai Meri Aankhon Mein
Mout Bhee Deeda-e-Hairaan Mein Hai

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ik Qaidi Abhi Zindaan Mein Hai



Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun

Ghazal Shayari

Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun
Tumhare paas hun shayad, shayad Door bhi hun

Yun Pathreele Raston Pe Chalna Shoq nehi Mera
Kuch Muaamla Chahat ka he Kuch Majboor bhi hun

Mohabbat Ho Gai Tum se, Bus itni Khata he Meri
Maana k Mujrim hun magar Be-qasoor bhi hun…



Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai

Ghazal Shayari

Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai
Jaanay Wo Khud Ko Kia Samajhta Hai ?

Mein Tou Manzil Samajhta Hun Osko
Wo Mujhe Raasta Samajhta Hai

Zakham Apna Dikha Raha Hun Ose
Jo Namak Ko Dawaa Samajhta Hai

Had Tou Ye Hai Ke Bhaint Charh Ke Bhi
Dil Ose Devtaa Samajhta Hai

Mera Mayaar Jag Mein Hai Hee Kahan ?
Jag Mujhe, Paarsa Samajhta Hai

Yaani ! Itna Sitam Tou Seh Lega ?
Jitna Sab Per Rawaa Samajhta Hai

Osko Ehraam-e-Misar Dikhlao
Jo Bhi Khud Ko Khudaa Samajhta Hai

Aaj Ke Dour Mein Jafaa Ko Janaab
Sirf Paagal, Jafaa Samajhta Hai

Aqal Mand Aadmi, Mohabbat Ko
Aqal Se Maawra Samajhta Hai

Qais Ka Kia Banay Ga, Laila Ko ?
Aakhri Aasra Samajhta Hai……..!



Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai..

Ghazal Shayari

Mujh Ko Bhi, Bewafa Samajhta Hai
Jaanay Wo Khud Ko Kia Samajhta Hai ?

Mein Tou Manzil Samajhta Hun Osko
Wo Mujhe Raasta Samajhta Hai

Zakham Apna Dikha Raha Hun Ose
Jo Namak Ko Dawaa Samajhta Hai

Had Tou Ye Hai Ke Bhaint Charh Ke Bhi
Dil Ose Devtaa Samajhta Hai

Mera Mayaar Jag Mein Hai Hee Kahan ?
Jag Mujhe, Paarsa Samajhta Hai

Yaani ! Itna Sitam Tou Seh Lega ?
Jitna Sab Per Rawaa Samajhta Hai

Osko Ehraam-e-Misar Dikhlao
Jo Bhi Khud Ko Khudaa Samajhta Hai

Aaj Ke Dour Mein Jafaa Ko Janaab
Sirf Paagal, Jafaa Samajhta Hai

Aqal Mand Aadmi, Mohabbat Ko
Aqal Se Maawra Samajhta Hai

Qais Ka Kia Banay Ga, Laila Ko ?
Aakhri Aasra Samajhta Hai……..!



Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko..

Ghazal Shayari

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,
Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko,

Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?

Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko

Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,

Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,

Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
Kyun Na Mein ‘Jhon’ Mita Doon Os Ko ?



Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum..

Ghazal Shayari

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,

“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum



Sooni Hain Aankhon Ki Galyan Dil Ki Bastian Veeran Hai

Ghazal Shayari

Sooni Hain Aankhon Ki Galyan Dil Ki Bastian Veeran Hai
Ek Khamooshi Ek Andhaira Chaaron Jaanib Raqsaan Hai

Kitni Door Chalaa Aaya Hun Chohr Ke Teri Basti Ko
Laikin Dil Teri Galyon Mein Aaj Talak Sar-Gardaan Hai

Phir Sooraj Ke Saath Tere Milnay Ka Imkaan Doob Gaya
Phir Baam-o-Dar Ki Tareeki Deeda-o-Dil Per Khandaan Hai

Phir In Pyaar Bhari Nadyon Ki Yaad Mein Aankhain Pur-Num Hain
Phir Os Bichhday Dais Ke Gham Mein Sheher-e-Dil-o-Jaan Veeran Hai

Jalib Aap Os Jaan-e-Ghazal Ke Pyaar Se Laakh Inkaar Karain
Aankhon Ki Pur-Soz Chamak Se Dil Ka Dard Numaaya Hai



Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir

Ghazal Shayari

Saaray Dard Nazar Aayein Ge Ghar Se Baahir
Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir

Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay
Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir

Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi
Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir

Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere
Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-Nazar Se Baahir

Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun
Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir

Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar
Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahir



Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain

Ghazal Shayari

Kabhi qurbat ke lamhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasaana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam karkay wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hooway roswa zamanay main
Ye marg-e-jaan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke halat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

by Shaukat Ali Khan


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari