Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Chalo Ik Baar Chaltay Hain

Ghazal Shayari

Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain

Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain

Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain

Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum
Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain

Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain

Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain

Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau
Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain

Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain

by Shaukat Ali Khan



Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Ghazal Shayari

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi,
Ke dhoop chaaon ka alam raha judaayi na thi,

Na apna ranj na auron ka dukh na tera malaal,
Shab e firaaq kabhi hum ne yun ganwayi na thi,

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha,
Shikasta dil thay musaafir shikasta-paayi na thi,

Adawatein theen, taghaful tha, ranjishein theen magar,
Bicharrne wale main sab kuch tha bewafaayi na thi,

Bicharrte waqt un aankhon main thi hamari ghazal,
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi,

Kisse pukaar raha tha wo doobta hua din ?,
Sadaa tou aayi magar koi duhaayi na thi,

Kabhi yeh haal ke donon main yak-dili thi bohat,
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi,

Ajeeb hoti hay raah`e sukhan bhi dekh “naseer”,
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasaayi na thi..

Watch Video



Dil Udaas Rehta Hai, Baarishon Ke Mausam Mein…

Ghazal Shayari

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindagi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein..
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per



Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai

Ghazal Shayari

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai
Ye Dil Ke Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai

Ye Sheher Kisi Aina Kirdaar Badan Par
ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai

Ik Umar Se Hum Is Ki Tamanna Mai Hain Be-Khwaab
Wo Chaand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai

Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain Firozaan
Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai

Is Umar Ke Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal
Talta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai

Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare
Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Haiā€¦..!



Anjaam Bohat Hain

Ghazal Shayari

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain

Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain

Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay
Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain

Taareef kron teri mohobat ke zaban main
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain

Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain

Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain

Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain

Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

by Shaukat Ali Khan



Hui Hai Shaam Tou Aankhon Mein Bas Gayaa Phir Tu

Ghazal Shayari

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,

Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,

Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,

Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,

Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?

‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..



Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kar

Ghazal Shayari

Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,
Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,

Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,
Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,

Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,

Aey Raat Sony Dy Youn Tang Na kia kr_,,
Mazboot hon, pr itni bhee nahi hon,,

Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,
Aey Raat Sony Dy,, Youn Tang Na Kiya Kar..



Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..

Ghazal Shayari

Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..
ye haadsa bi meri jaan kabhi to hona tha..

Woh muje torr ke phir jorta raha aksar..
main uske waaste jaise koi khilona tha..

Humen kahin na kahin to bichar hi jana tha
yei haadsa meri zindagi mei aana tha

Woh shaks mujhe saari umar tarse ga..
Naseeb uska “ke usne muje ganwana tha”



Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko

Ghazal Shayari

Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko
pukarta hy pahardon ka silsilah muje ko

Mai asma-o-zameen ke hadey mila deta
koi sitara agar jhuk ke chomta muje ko

Chipak gy mery talwon sy phool seshy ke
zamana khench raha tha barhana paa muje ko

WO shehsawar barda reham dil tha mery lieye
bardha ke nezah zameen sy utha liya muje ko

mkan,khait,sabhi aag ki lapeet mai thy
sunheri ghaas mao es ny chupa diya muje ko

Tu aik hat mai ly aag ek mai pani
tamam raat hawa mai jala bojha muje ko

Bas ek raat mai sarsabz ye zameen hoi
mery khuda ny kaha tak bicha diya muje ko



HAr roz hamey milna har roz bichardana hy

Ghazal Shayari

HAr roz hamey milna har roz bichardana hy
mai raat ki parchain to subha ka chera hy

Alam ka ye sab naqsha bacho ka gharonda hy
ek zarey ke qabzey mai sehmi hoi dunya hy

hamrah chalon mery ya rah sy hat jao
Dewar ke roky sy darya kahi rukta hy

En ke hi isharon par ye raat mili hum ko
jin chand sitarey sy chehrey ka saya bhi sunhera hy

Sannatey ke shakhon par kuch zakhmi parindy hay
khamoshi bazate-khud awaz ka sehra hy

ek gond bhatakti hy sunsan pahardon mai
jab raat ke seeny mai dil mera dharakta hy

kab jany hawa es ko bikhra dy fizaon mai
khamosh darakhton par sehma howa naghma hy


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari