Jaleel Manikpuri

Ranjish.com has lots of Urdu Jaleel Manikpuri Poetry. Feel free to add your own Jaleel Manikpuri Shayari here.

Jaleel Manikpuri Collection

Jaleel Manikpuri Poetry Jaleel Manikpuri
1866-1946

Jaleel Manikpuri was prominent Urdu poet from Hyderabad. He was student of Ameer Minai and succeeded Dagh Dehlvi as the court poet of Hyderabad.
Ranjish.com is the ultimate place to read Jaleel Manikpuri Poetry.



Kya mila tum ko mere ishq ka charcha kar ke..

Jaleel Manikpuri

Kya mila tum ko mere ishq ka charcha kar ke,
Tum bhi ruswaa huye aakhir mujhe ruswa kar ke..



Kuch iss adaa se ap ne pucha mera mizaaj..

Jaleel Manikpuri

Kuch iss adaa se ap ne pucha mera mizaaj,
Kehna parra ke shukar hai parwardigar ka..



Akss hai ayina-e-dehr main surat meri..

Jaleel Manikpuri

Akss hai aayina-e-dehr main surat meri,
Kuch haqeeqat nahin itni hai haqeeqat meri,

Dekhta main usay kyun-kar ke naqaab uThte hi,
Ban ke divaar khaRRi ho gayi hairat meri,

Roz woh khawb main aate hain gale milne ko,
Main jo sota hoon to jaag uThti hai qismat meri,

Sach hai ehsaan ka bhi bojh bohat hota hai,
Chaar phoolon se dabi jaati hai turbat meri,

Aayine se unhe kuch uns nahin baat yeh hai,
Chahte hain koi dekha kare surat meri,

Main yeh samjhoon koi mashooq mere hath aya,
Mere qaabu main jo aa jaye tabiyat meri,

Un se izhar-e-mohabbat jo koi karta hai,
Duur se us ko dikha dete hain turbat meri,

Jaate jaate woh yehi kar gaye takeed jaleel,
Dil main rakhiye ga hifazat se mohabbat meri..

عکس ہے آئینۂ_دہر میں صورت میری - جلیلؔ مانک پوری



Kuch is adaa se aap ne puucha mera mizaaj..

Jaleel Manikpuri

Kuch is adaa se aap ne puucha mera mizaaj,
Kehna parra ke shukar hai parvardigaar ka..



Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai…

Jaleel Manikpuri

Deedaar ki havass hai na shauq-e-visaal hai,
Azaad har khayal se mast-e-khayal hai,

Keh do yeh kohkan se hi marna nahin kamaal,
Mar mar ke hijr-e-yaar main jeena kamaal hai,

Fatva diya hai mufti abr-e-bahaar ne,
Tauba ka khooon baada-kashon ko halaal hai,

Aankhen bata rahi hain jaage ho raat ko,
In saaghron main buu -e- sharab-e-visaal hai,

Barsaao teer mujh pe pr itna jaan lo,
Pehlu main dil hai dil main tumhara khayal hai,

Aankhen larra ke un se hum aafaat main parr gaye,
Aankhon ki har zubaan pe dil ka sawaal hai,

Buut keh diya jo mene to ab bolte nahin,
Itni si baat ka tumhe itna khayal hai,

Main daamin -e- neyaaz main ashk-e-chakida hoon,
Koi uthaaa ke dekh le uthna muhaal hai,

Poocha jo unse jaante ho tum Jaleel ko,
Bole ke haan woh shayer-e- naazuk-khayal hai..



Aag aisi lagi thi seenay main..

Jaleel Manikpuri

Aag aisi lagi thi seenay main,
Aankh se dil main woh utar na saka..



Peene se main kar chuka tha tauba magar..

Jaleel Manikpuri

Peene se kar chuka tha main tauba magar Jaleel,
Baadal ka rang dekh ke neeyat baddal gayiii..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jaleel Manikpuri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari