Munir Niazi

Ranjish.com has lots of Urdu Munir Niazi Poetry. Feel free to add your own Munir Niazi Shayari here.

Munir Niazi Collection

Munir Niazi Munir Niazi
1928-2006

Munir Niazi was born in Khanpur to the Niazi tribe. “Taiz Hawa Aur Tanha Phool” was his most popular book although “Jungle mein Dhanak”, “Dushmanoon Kai Darmiyan Sham” and “Mah-e-Munir” also did quite well all over the world.
We bring you the best Munir Niazi Poetry right here at one place.



Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya..

Munir Niazi

Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya,
Yeh khaana-e-viraaan hi ab hum ko pasand aaya,

Benaaam-o-nishaan rehna ghurbat ke ilaaqe main,
Yeh sheher bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,

Tha laal hua manzar suuraj ke nikalne se,
Woh waqt tha woh chehra jab hum ko pasand aaya,

Hai qataa-e-talluq se dil khush to bohat apna,
Ik hadh hi banaa lena kab hum ko pasand aaya,

Aana woh Munir uss ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Yeh turfaa tamaasha bhi shab hum ko pasand aaya..



Ashk-e-ravaan ki nehr hai aur hum hain dosto..

Munir Niazi

hum hain dosto

Ashk-e-ravaan ki nehr hai aur hum hain dosto,
Uss bewafa ka shehr hai aur hum hain dosto,

Yeh ajnabi si manzilein aur raftgaan ki yaad,
Tanhaayiyon kaa zehr hai aur hum hain dost,

Laayi hai ab urraa ke gaye mausmon ki baas,
Barkhaa ki rut ka qehr hai aur hum hain dosto,

Phirte hain misl-e-mauj-e-huaaa shehr mein,
Awaargi ki lehr hai aur hum hain dosto,

Shaam-e-aalam dhalli to chalii dard ki havaa,
Raaton ki pichlaa pehr hai aur hum hain dosto,

Aankhon mei urr rahi hai lutti mehfilon ki dhool,
Ibrat saraa-e-dehr hai aur hum hain dosto..



Aayina ab judaa nahin karta..

Munir Niazi

ayina ab juda nahin karta

Aayina ab judaa nahin karta,
Qaid mei hoon rihaa nahin karta,

Mustaqil sabr mei hai koh-e-giraan,
Naqsh-e-ibrat sadaa nahin karta,

Rang-e-mehfil badaltaa rehta hai,
Rang koi wafaa nahin karta,

Aish-e-duniyaa ki justujuu mat kar,
Yeh dafeena mila nahin karta,

Ji main aaye jo kar guzarta hai,
Tuu kisi ka kahaa nahin karta,

Ek waaris hamesha hota hai,
Takht khaali rahaa nahin karta,

Ehd-e-insaaf aa raha hai “munir”,
Zulm daayem hua nahin karta..



Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin..

Munir Niazi

Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin,
Tuu ne mujhe ko khho diya maine tujhe khoya nahin,

Neend ka halka gulaabi sa khumaar aankhon main tha,
Yuun laga jaise woh shab ko dair tak soyaa nahin,

Har taraf deewaar-o-dar aur un main aankhon ke hujoom,
Keh sake jo dil ki haalat woh lab-e-goyaa nahin,

Jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza,
Kaat.taa hoon zindagi bhar main ne jo boyaa nahin,

Jaanta hoon ek aise shakss ko main bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi royaa nahin..



Aayi hai ab yaad kya raat ik beete saal ki..

Munir Niazi

Aayi hai ab yaad kya raat ik beete saal ki,
Yehi havaa thi baagh mei yehi sadaa gharriyaal ki,

Mehak ajab si ho gayi parre parre sanduuq mei,
Rangat pheeki parr gayi resham ke ruumaal ki,

Shehr mei ddar tha maut ka chaand ki chauthii raat ko,
Eeentton ki iss khohh mei dehshat thi bhaunchaal ki,

Shaam jhuki thi behr pr paagal ho kar rang se,
Yaa tasveer thi khawb mei mere kisi khayaal ki,

Umr ke saath ajeeb sa ban jaata hai aadmi,
Haalat dekh ke dukh hua aaj uss parii-jamaal ki,

Dekh ke mujh ko ghaur se phir woh chup se ho gaye,
Dil main khalish hai aaj tak iss an-kahe sawaal ki..



Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya..

Munir Niazi

Ik taizz teer tha ke lagaa aur nikal geya,
Maari jo cheekh rail ne jungle dehall geya,

Soyaa hua tha sheher kisi saamp ki tarah,
Main dekhta hi reh geya aur chaand ddhal geya,

Khawhish ki garmiyaan theen ajab un ke jism main,
Khuubaan ki sohbaton main mera khuun jjal geya,

Thi shaam zehr-e-rang main duubi hui kharri,
Phir ik zara si dair main manzar badal geya,

Muddat ke baad aaj ussey dekh kar Munir,
Ik baar dil to dharrka magar phir sambhal geya..



Aa gayi yaad shaam dhalte hi..

Munir Niazi

Aa gayi yaad shaam dhalte hi,
Bujh geya dil chiraagh jalte hi,

Khul gaye shehr-e-gham ke darvaaze,
Ik zaraa si havaa ke chalte hi,

Kaun tha tuu ke phir na dekha tujhe,
Mitt geya khawb aankh malte hi,

Khauff aata hai apne hi ghar se,
Maah-e-shab-taab ke nikalte hi,

Tuu bhi jaise badal saa jaata hai,
Aks-e-deewaar ke badalte hi,

Khuun sa lag geya hai haathon mein,
Charrh geyaa zehr gul masalte hii..



Awaaz de ke dekh lo shaayed woh mil hi jaaye..

Munir Niazi

Awaaz de ke dekh lo shaayed woh mil hi jaaye,
Warna yeh umr bhar ka safar raayegaan to hai..



Be-khayaali mei yunhii bas ik iraada kar liya..

Munir Niazi

Be-khayaali mei yunhii bas ik iraada kar liya,
Apne dil ke shauq ko hadh se zeyaada kar liya,

Jaante they dono hum us ko nibhaa sakte nahin,
Us ne vaada kar liyaa main ne bhi vaada kar liya,

Ghair se nafrat jo paa li kharch khud par ho gayii,
Jitne hum they hum ne khud ko uss se aadha kar liya,

Shaam ke rangon main rakh kr saaf paani ka glaas,
Aab-e-saada ko hareef e rang-e-baada kar liya,

Hijraton ka khauf tha yaa pur-kashish kohna maqaam,
Kyaa tha jis ko hum ne khud deewaar-e-jaada kar liya,

Ek aisa shakss banta jaa raha hoon main Munir,
Jiss ne khud pr band husn-o-jaam-o-baada kar liya..



Visaal ki khawhish..

Munir Niazi

Keh bhi de ab woh sab baaten,
jo dil me posheeda hain,
saare roop dikha de mujh ko,
jo ab tak naadeeda hain,
ek hi raat ke taare hain,
hum dono us ko jaante hain,
duuri aur majbuuri kya hai,
us ko bhi pehchante hain,
kyuun phir dono mil nahin sakte,
kyuun yeh bandhan toota hai,
yaa koii khott hai tere dil me,
yaa mera gham jhootta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Munir Niazi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari