Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Ab dard rehta hai

Dard Bhari Shayari

Mera afsorda chehra is liye bhi sard rehta hay
Mujhay apnay elawa bhi kese ka dard rehta hay

Tumharay baad baqi or tu sab theek hay lakin
Jahan “dil” tha kabhi pehlay waha ab dard rehta hay



Mere sirhane na bithana us ko

Dard Bhari Shayari

Me mar jau to mere Sirhane na bithana us ko,
Boht Tasalli dena boht pyar se Samjhana us ko,

Ghomne ka bahana kar k door Fizao me kahi le jana us ko,
Wo bawafa hy us waqt ye ehsas na dilana us ko,

Us k samny na karna batey aesi k meri yaad ajae,
Meri tafri k mashghale suna suna k hansana us ko,

Wo roye ga boht bilawaje to meri rooh tarap uthegi Yaar,
Dost tm aesa karna meri Mout ka he na batana us ko??.



gum sum ankhen

Dard Bhari Shayari

Gum Sum Ankhen,Sooni Saansen,Toot’Ti Jurti Umeedain?
Darta Hun Yun Kese Katey Gi *Umar* Hai Koi Raat Nhi?



azaab baqi hai

Dard Bhari Shayari

Na husn e shabab baqi hai.
Na zore shabab baqi hai.
Lazzaten sari qatam hogayi hai amjad.
Lazzaton ka azaab baqi hai.



Aisa nahi k tujhse mohabbat nahi mujhe

Dard Bhari Shayari

Ruswaiyo ke darr se na dekha teri taraf,
Aisa nahi k tujhse mohabbat nahi mujhe.



ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

Dard Bhari Shayari

ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte
shaam ke vaqt safar kyaa karte

terii masruufiyateN jaante the
apne aane kii Khabar kyaa karte

jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kyaa karte

vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa
saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-o-aaKhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kyaa karte



Dard ki har ik hadh se guzar gaya hoon

Dard Bhari Shayari

Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtunga youn bikhar gaya hon main

Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main

Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andhero’n main ab utar gaya hon main

Baam o darr bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main

Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thhehar gaya hon main



kabhi to miley

Dard Bhari Shayari

Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha
Bigra Hi Rehta Hai Kyun Halaat Ki Terha
Wo Ek Sanam Jo Lage Jaan Se Pyara
Mujhe Waqt To Deta Hai Magar Kheraat Ki Terha



Jab tak aansu na bahe

Dard Bhari Shayari

Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya
ishq nakam sahi phir bhi bahut kaam aaya…
hamne mohabbat me aisi bhi guzaari raatein
jab tak aansu na bahe dil ko na aaraam aaya……



Aankh bhAr i hai.

Dard Bhari Shayari

Bin Us K Zindagi Dard-e-Tanhai Hai,
Meri Aankhon Mai Q Mout Simat i Hai,
Kehtay Hain Log Ishq Ko Ibadat Yaro,…
Ibadat Mai Phr Q Itni Ruswai Hai,…
Mahfil mai reh kar b Tanha rehna,
…Ye ada uski mohabbat nay sekhai hai,
Us sy taluq hai kuch aisa dil ka,
Jb b sochA usko Aankh bhAr i hai.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari