Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Dard Bhari Shayari

Zindagi to bohat kam hai mohabbat k lie,

Rooth kr waqt gawane ki zarorat kia hai,

Rooth jane ki ada hum ko bhi ati hai,

Kash hota koi hum ko bhi mananay k liye…



Ek Roz

Dard Bhari Shayari


Ek roz mere hijr ki duniya me aake dekh,
Tanhaiyon ke dasht me dera laga ke dekh,
Hum ehl-e-wafa pyar ko ruswa nahi karte,
ye jan-e-wafa hum ko zara aazma ke to dekh



KHafa b nahi

Dard Bhari Shayari


Wo bewafa bhi nahi,Karte wafa bhi nahi,
dar hai hame lekin ,wo dete daga bhi nahi.

Mana lete unko jo hote khafa wo hamse
kaise manay hum unko wo humse khafa b? nahi



Shaam hony do

Dard Bhari Shayari

Abhi sooraj nahin dooba, zara see shaam hone do,
Main khud hi lot jaaonga, mujhe NAKAAM hone do.

Mujhe bad-naam kerne k, bahaane dhoondte ho kyun?
Main khud ho jaaonga bad-naam, pehle naam hone do.

Abhi mujh ko nahin kerna hai, Aetraaf-e SHIKAST,
Main sab tasleem ker loonga, ye charcha aam hone do.
Mohabbat roog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi rooti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb ley jaa ker
yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isey tum dil ki dhurti ka pata mut do
yeh is mein dard booti hai kaha bhi tha
mohabbat k baad kushi mein ghum ki rut
buhat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roone se bhi kya hasil
buhat nayaab mooti hai kaha bhi tha
azul se is ki fitrut hai zamane ko
jaga ker khud sooti hai kaha bhi tha
yeh sir se paaon tuk bas raakh kerdeygi
BUHAT BEY DARD HOTI HAI KAHA BHI THA !!!!



Mery gham

Dard Bhari Shayari

Mery gham mery liye hai ye janti hun main

khushiyan auron ko de ker hi to ye inaam kamaya hai mainy



Meherban…

Dard Bhari Shayari

Ager wo meherban hota

to meri ankh main na jhilmilati si nami hoti

na mery dil li wadi main Hizan ka qafla rukta

wo meri benoor ankhon main sitary qaid ker deta

meri zakhmi hatheli pe wo koi phool rakh deta

mery hathon ko apny hathon main le ker

wo ye kehta…

Mohabat roshni hai, rang hai, khushbu hai, sitara hai

Qasam mujhko mohabat ki mujhy tu sab se payara hai

mager aisa wo tab kehta

Ager wo Meherban hota…



Jo Zakham tu ne Diye

Dard Bhari Shayari

jo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain

yeh ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
sarooo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain

nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain

ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain

najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain

yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain

darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain.



Mery Geet

Dard Bhari Shayari

Mane jo geet tery pyar ki khatir likhy

aj in geeton ko bazar main le aya hun

aj bazar main neelam uthy ga in ka

tu ne jin geeton pe rakhi thi mohabat ki asass

aj chandi k tarazoo main tully gi her cheez

mery afqaar, meri shayari, mera ehsas



Os waqt…

Dard Bhari Shayari

Dard ki dil pe hakumat thi kahan tha os waqt

kab mujhy teri zarurt thi kahan tha os waqt

moat k dukh main chala aya mujh dekhny

zinda rehny ki museebat thi kahan tha os waqt

dil ke deryon main reet hai sehraoon ki

jab mujhy tujh se mohabat thi kahan tha os waqt?



Mat kar pyar

Dard Bhari Shayari

Mat kar pyar mujh se aae ajnabi

sab janty hain main? zamany main badnam hun

tery samny zindagi pari hai guzarny k liye

main to likh ker mittaya hua ik nam hun


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari