Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Mery sath wafa kon kery ga

Dard Bhari Shayari

Hasti ko muhabbat mai Fana kon kare ga,?
Ye farz zamane mein ada kon karay ga,?
Hathoon ki lakeeron ko zara dekh Najomi,…
Ye dekh mere sath wafa kon karega.



Tanhai hi mili

Dard Bhari Shayari

Piyar kisi se jitna kiya ruswai hi mili
Wafa chahe jitni bhi ki bewafai hi mili
Jitna bhi kisi ko apna bana kar dekha
Jab aankh khuli to tanhai hi mili



Chand per Dagh hai

Dard Bhari Shayari

Kabhi Tou Ki Ho Gi Chaand Ne Sooraj Se Mohabbat

Tab Hi Tou Chaand Per Daagh Hai

…Mumkin Hai Chaand Ne Ki Hogi Bewafaai

Tab He Tou Sooraj Main Itni Aagg Hai



Adatain Purani Hain

Dard Bhari Shayari

Barishon k mausam main
tumhe yaad karne ki aadtein purani hain
Ab ki baar socha haipurani aadtein badal dalein
Lekin phir khayal aaya…
aadtein badalne sebarishein nahi rukti?.



Hiddat e gham

Dard Bhari Shayari

hiddat-a-gham ko tabasum main chupany walo
Dil ka hr zakham nigahoon sy ayaaan hota hai….



Woh Mujhse Lipat Ke Roya

Dard Bhari Shayari

[lg_image folder=”shayari” image=”WohMujhseLipatKeRoya.jpg” align=”center” width=”300″ height=”200″ caption=”Woh Mujhse Lipat Ke Roya – Urdu Designed Poetry”]



Jise bhulaye kayi saal ho gaye

Dard Bhari Shayari

Main hosh mein tha tou phir Uss pe mar gaya kaise
Yeh zehar mere lahoo mein utter gaya kaise

Kuch Uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba ker guzar gaya kaise

Zaroor Uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha tou main apne hi ghar gaya kaise

Jise bhulaye kayi saal ho gaye Kamil
Main aaj Uss ki Gali se guzar gaya kaise



Hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

Dard Bhari Shayari

tum ko marghoob thay hanste hoye chehre lakin
hum ne roote hoye chehroon se mohabbat ki hai

chand sikoon ke ivaz cheen li ghairat meri
kitni kam is ne muqqarar meri keemat ki hai …!!

kon tha jis ne bhujaye mere ghar ke cheeragh
janay kis ne yeh siyahi meri qismat ki hai

ab woh tardeed pe tardeed kiye jata hai
main ne tou baat ki thori si wazahat ki hai

ghar main dar aya hai dushman tou shikayat kaise
ham ne khud us ko faraham ye sahoolat ki hai

shairy kia thi faqt shair ke pairahe main
hum ne aik ahad ki tareekh ibarat ki hai .



Meri saadgi mera juram hai

Dard Bhari Shayari

Yahan chahton ka sila Nahi,
Yaha Dosti ka Maza Nahi.

Yaha Janay Kaisy Hawa Chali,
“RAHI” Doston Main Wafa Nahi.

Yaha Jal Gaya Mera Aashian,
Abhi Badalon ko Pata Nahi.

Teray Dar Pe Dastak Dei Sakon,
Ye Haq Tum ne Mujey Dia Nahi.

Main “RAHI” Hoon Rahi-e-Umeed ka,
Mujey Manzilon ka Pata Nahi.

Bey Bus Hoon Jahan Main Itna,
Jaisey Mera koi “KHUDA” Nahi.

meri saadgi mera juram hai,
koi aur meri khata nahi…



Woh shaks kabhi laut kar nahin aya

Dard Bhari Shayari

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya

Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya

Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya

Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya ..!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari