Designed Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Designed Shayari Poetry. Feel free to add your own Designed Shayari Shayari here.

Designed Shayari Collection

Designed Poetry is a form of poetry which is in the form of picture. This kind of Urdu Designed Poetry is made up in photoshop. This is a pure art, to represent your thoughts in a picture. Designed Poetry is hugely popular in pakistan, people love reading Designed Poetry because its not in text so its not boring to read. This is often called Urdu Picture Poetry.



saari khushi-yan mila ke dekhi hain

Designed Shayari

saari khushi-yan mila ke dekhi hain
tere jane ka gham zeyada hai



main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt

Designed Shayari

main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt
ke waqt -e- assr hai khud se mere kalaam ka waqt

tamam din jahan chaho raho khuda ke liye
kisi ke naam na karna hamare naam ka waqt

allam baghawat-on ka kar liya buland magar
kaTte ga dekhna zindaan main ghulaam ka waqt

bas us ke baad to bachte hain sirf pachtawe
yahi hai dost raunat ki rok thaam ka waqt

khuda kare ke main kar doon maaf dil se usse
khuda na laye kabhi mujh pe intiqaam ka waqt

hamare rizq ka daromadar hum par hai
ke thora ishq ka rakha hai, baaqi kaam ka waqt



Apni har baat zamane se chupaani paRri thi..

Designed Shayari

apni har baat zamane se chupaani paRri thi,
phir bhi jis ankh main dekha to kahani paRri thi,

main ne kuch rang churaye thay kisi titlee ke,
aur phir umar hifazat main bitani paRri thi,

kal kisi ishq ke beemar pe dumm karna tha,
peer-e-kamil ko ghazal meri sunani paRri thi,

kucha-e-ishq se nakam palaTtne wale,
tu ne dekha tha wahan meri jawani paRri thi,

dil na seh paya kisi aur se qurbat us ki,
mujh ko deewar se tasveer haTtani paRri thi,

main bohat jald buRrhape main chala aaya tha,
bin tere umar ki raftar baRrhani paRri thi,

us ki hasrat ka badan barf na ho jaye kahin,
apne seene main mujhe aag lagani paRri thi,

tere mumtaz ko gham maut ka sirf is liye hai,
apne baalon main tujhe khaak rawani paRri thi..



Yeh vasl kya ke khuda toor hi jalaa de yaar..

Designed Shayari

Yeh vasl kya ke khuda toor hi jalaa de yaar,
Maza to jab hai ke woh arsh par jagah de yaar,

Main roz khawb main oonchi jagah se girta hoon,
Tu mujh ko choRrne wala hai to bata de yaar,

Yeh hijr-o-vasl ke qisse to sab ne likhe hain,
Tu sher baandh raha hai to kuch naya de yaar,

Tu mere baad unhe phir bula le mehfil main,
Bas aik baar mere samne utha de yaar,

Woh mera ho nahin sakta to ae musawwar sun,
Hamari sath main tasveer hi bana de yaar..



Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya..

Designed Shayari

Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya,
Kahe agar tere pairon main beth jayen kya,

Jo naao paar gayi laut kar nahin aati,
Jo shakhss doob gaya hai usse bachayen kya,

Kisi ki yaad main jaagen sitare dekhen hum,
Sulag raha hai jo cigarette usse bhujayen kya,

Tumhare baad koi zakham kyun karen taaza,
Guzar chuka hai jo us par lahuu bahayen kya,

Kisi ki neend meri neend kese ho jaye,
Kisi ke khawb meri ankh main samayen kya..



Wehshat ke kaarkhane se taza ghazal nikaal..

Designed Shayari

Wehshat ke kaarkhane se taza ghazal nikaal,
Ae sabr ke darakht mera meetha phall nikaal..



Woh qayamat se pehle nahin milne wala..

Designed Shayari

Woh qayamat se pehle nahin milne wala.
Kis liye phir dil betaab liye phirte ho,

Hum se tehzeeb ka daman nahin choRra jata,
Dasht-e-wehshat main bhi adaab liye phirte ho..



Seene main jalan, ankhon main tufan sa..

Designed Shayari

Seene main jalan, ankhon main tufan sa kyun hai,
Is sheher main har shakhs pareshan sa kyun hai..



Hosh walon ko kya khabar kya bekhudi kya cheez hai..

Designed Shayari

Hosh walon ko kya khabar kya bekhudi kya cheez hai,
Ishq kijiye phir samajhiye zindagi kya cheez hai..



Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam..

Designed Shayari

Karoon ga kya jo mohabbat main ho geya nakaam,
Mujhe to aur koi kaam bhi nahin ata..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Designed Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari