Dukhi Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dukhi Shayari Poetry. Feel free to add your own Dukhi Shayari Shayari here.

Dukhi Shayari Collection

Dukhi Poetry is poetry on sorrowness and grieving. Urdu Dukh Shayari is hugely loved in pakistan. We have lots of Dukh Poetry and Dukhi Shayari for you to read and enjoy.



Udaasi

Dukhi Shayari

ab udas phirtay ho sardiyun ki shamoon main
is tarhan tu hota ha is tarhan k kamoon main-



Nigaahen….

Dukhi Shayari

Do Nigahain Mileen
Mil k Phir Jhuk Gaeen
Jhuk K Phir Uth Gaeen

Waqat Tham Sa Gaya
Hosh Bhi Kho Gaey

Faslay Aik Lamhay Mein Teh Ho Gaey
Phir Achanak Nigahain
Juda Ho Gaeen

Ye Besaarat Unhain
Dhondti Reh Gaee

Aur

Us Waqat Say Haal Bechain Hai
Ye Tha Pehli Muhabbat Ka Pehla Safar

Kis Qadar TAiz Ru….!
Kis Qadar Mukhtasir..!!



Main bikhar geya chup chaap

Dukhi Shayari

Main raiza raiza hawa main bikhar gia chup chaap,
Teray firaq ka mosam guzar gia chup chaap,
Kisi nay kaan nah meri sada-e-dil pay dharay,
Meray wajood main ek shakhs mar gia chup chaap



Gehra Zakhm

Dukhi Shayari

Wafaa Ka Zakhm Hai Gehra To Koe Baat Nhi
Lagaao Bhi To Hame Unse Intehaa Ka Tha !!



Ajab halaat they mere

Dukhi Shayari

Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha, ke tum sath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ik pathar ka gard alood buut tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi se aur kia taiyeed ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram e halat thay meray

mai jin sholon maii jalta tha sayey tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay bhi ilzamat thay meray

tasawor ban geua tasveer aakhir aik din woh
ici ka khoaf tha mujh ko yehi khadshat thay meray



Mein uska hoon

Dukhi Shayari

Mein uska hoon, yeh tou main jaan geya hon lekin
Woh kis ka hai, yeh sawaal mujhe sonay nahin deta..



Hum to aese badnaseeb

Dukhi Shayari

Arey hum to aese badnaseeb hain mere dost,
Beiche’n agar kafan to log marna hi chorr dein.



Dil lagi ho gi

Dukhi Shayari

Ab ke agar laga dil to sirf dil lagi ho gi,
Hum tum apni mohabat tamam kar bethe.



Kis baat ka gham hay

Dukhi Shayari

Agar woh pooch lain hum say, tumhain kis baat ka gham hay
Tou phir kiss baat ka gham ho, agar woh pooch lain hum say



Toot kar bikharta hoon

Dukhi Shayari

Toot kar bikharta hoo’n to is baat ka ahsaas hota hai,
Zindagi itni takleef deti hai to maot ka aalam kya hoga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dukhi Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari