Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain

Ghazal Shayari

Ghaira hay is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye is malaal mein

Mujh se nazer chura k guzerne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein

Hon sa’at e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein

Bechainiaan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein

Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein

Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein



Hum Yaad Rakhtay Hain

Ghazal Shayari

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain

Teri Baaton Say Is Dil Ko
Bohat Aabad Rakhtay Hain

Kabhi Dil Kay Sahifay Per
Tujhay Tasveer Kartay Hain

Kabhi Palkon Ki Cha’on Main
Tujhay Zanjeer Kartay Hain

Kabhi Khowabeda Shaamon Main
Kabhi Barish Ki Raaton Main

Koii Mousam Ho Wasl o Hijar Ka
Hum Yaad Rakhtay Hain



Charagh hun kab say jal raha hun

Ghazal Shayari

Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye

Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .



Wo mery paas sy guzra hy begana ban k..

Ghazal Shayari

Teri beparda nigahon ka nishana ban k,
Khud sy jhagra hun buhat tera deewana ban k,

Mujhy is trhan se na dekh teri zulfon ki qasam,
Phir na reh paonga main tujh se begana ban k,

Neend ankhon k dareechy sy to hy door magar,
Khawab aaty hain phir sony ka bahana ban k,

Ye talatum teri ulfat ka mery dil mein to hy,
Khatm hojaye na ye Qisa fasana ban k,

Is kadar chahna usko na raas aaya,
Wo mery paas sy guzra hy begana ban k..!!!”



Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho…

Ghazal Shayari

Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho,
Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho,

Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse,
Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho,

Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara,
Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho,

Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein,
Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho,

Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se,
Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho…!



Kabhi laut aao jo ho sakay

Ghazal Shayari

Tera Aks K Qareb’tar,Teri Yad Jan Se Aziz’tar,
Tera Dard Sab Se Hai Mo’atbaar,

Kabhi Loat Aao Jo Ho Sakay,
Tere Bin Hai Soona Mera nagar,

Mere Hum Nasheen Mere Humsafar,
Teri Dosti Hai Azeem’Tar,

Tujhay Dua’en Itni Main De Sakun,
Koi De Sakay Na Umer Bhar……!!!!



Dard ke purzey talash karti thi

Ghazal Shayari

Galli Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi

Ajab Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi WO Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi

Tamam Raat WO Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay WO Lamhe Talash Karti Thi

Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se USS KO Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat WO Zakhma Ke Apni Pooron KO
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Badlon Ne ”Wasi”
WO Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi



Baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

Ghazal Shayari

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
log bevajah udaasii kaa sabab puuchhe.nge
ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaa.N kyuu.N ho

u.ngaliyaa.N uThe.ngii sukhe huye baalo.n kii taraf
ik nazar dekhe.nge guzare huye saalo.n kii taraf

chu.Diyo.n par bhii ka_ii tanz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikre kase jaaye.nge

log zaalim hai.n har ik baat kaa taanaa de.nge
baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge

unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varnaa chehare ke taasur se samajh jaaye.nge

chaahe kuchh bhii ho savaalaat na karanaa unase
mere baare me.n ko_ii baat na karanaa unase

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii



Yeh pichle ishq ki batain hain

Ghazal Shayari

Yeh Pichlay Ishq Ki Baatein Hein
Jab Aankh Mein Khuwaab Chamakte The

Jab Dil Mein Daag Damakte The
Jab Palken Sahaher Ke Raston Par

Ashkon Ka Noor Luta Ti Thin
Jab Chand Ki Rim Jhim Kirno Se

Sochon Mein Bhawanr Parr Jaate The
Jab Aik Talatum Rehta Tha

Apne Be Ant Khayalon Mein
Har Ahad Nibhane Ki Qsmein

Khat Khoon Se Likhne Ki Rasmein
Jab Aam Thi Ham Dil Walon Mein

Yeh Pichley Ishq Ki Baatein Hein



Bhala Kaise Bhulaaon Gi

Ghazal Shayari

Meri jaa.n sochti hon main
Agar tum mil na paay tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaao.n gi!
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaao.n gi!!
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoo.n gi!!!

meri jaa.n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoo.n gi!
Jo aadhi um’r jeeni hay
Wo main kaise bitaao.n gi!!

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Teri yaadai.n jo aae.n gi
Mujhe pal pal rulai.n gi
Merey Anchal ko kainchai.n gi
Mujhe kutch gud-gudai.n gi

Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!!
Jo baatai.n tum sey karti hon
bhala kis ko bataao.n gi!
Naya jab sher likhoo.n gi
Tu main kis ko sunaao.n gi!!

meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Meri jaa.n Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo.n gi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari