Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Phoolon Ko Aag Lag Gayi

Ghazal Shayari

pholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey
sooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey

ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi raha
furda ki surd aag main halaat jal gayeey

kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablay
ghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey

ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaiee
fikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey

saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhay
shayad mere naseeb kay din raat jal gayeey.



Mujhko Dard se Inkaar Karna Parta Hai

Ghazal Shayari

Kuch Is Tarha Se Uay Pyaar Karna Parta Hai,
K Apnay Pyaar Se Inkar Karna Parta hai,

Kabhi Kabhi Toh Woh Itna Qareeb Hota Hai,
K APnay Apko Dewaar Karna Parta Hai,

Khuda Ne Usko Ataa Ki Hai Maseehaai,
K Khud Ko Jaan K Beemar Karna Parta Hai,

Wafa Ki Raah Mein Dushwariyaan Toh Ati Hain,
Wafa Ki Raah Ko Humwaar Karna Parta Hai,

Woh Haath Rakh K Mere DIL Par Jab Bhi Puchta Hai,
Toh Mujhko Dard Se Inkaar Karna Parta Haii………!!!!



Mohabat ki Haqeeqat

Ghazal Shayari

Mohabat sirf visal-e-sanam kab hai

is k hazaroon roop rang hain

ye har rang main muskurati hai

Rooty bachy ko chup karna b Mohabat hai

door kisi gareeb k ghar main

band choolha jalana b mohabat hai

jo har eid per nae kapron ko tarsty hain

os masoom bachon ko nae jory zaiz tan krwana

bhi Mohabat hai

wo jin k ansoo ponchny waly nahi rahy

un ki mayoosiyan mitana hi mohabat hai

tTu bhaly gam se choor choor Ae Dil

logon kgam dil pe lena bhi mohabat hai

main to shayer hon

karon mohabat ko kesy bayan??

jo de nafrat, ata Mohabat karo,

shayad yehi mohabat hai…



ZinDagi

Ghazal Shayari

Zindgi ik sawal labon pe goya adhoora sa

nainon ka khwab kuch mukammal kuch pura sa

suno safer-e-zindagi main hum safer milen ge

kabhi gum kabhi khushi k phool khilen ge

zindgi imtihan, bhi azmaesh bhi apnon k liye

khoon-e-dil de ker jity hain yahan

Tooty sapnoon k liye…



Aankhen

Ghazal Shayari

har terha k jazbat ka aelaan hain ankhen

shabnam kabhi shola kabhi tufan hain ankhen

ankhen hi milati hain zamany main diloon ko

anjaan hain hum tum, ager anjaan hain ankhen

lab kuch b kahen is se hakikat nahi khulti

insaan k sach jhoot ki pehchan hain ankhen

ankhen na jhuken teri kisi ghair k agey

dunya main Meri Jan, bari cheeenz hain ankhen



kabhi kabhi

Ghazal Shayari

Kabhi kabhi mery dil main khyal aata hai

ajab na tha main begana-e-alam ho ker

tery jamaal ki ranaiyon main kho rehta

tera gadaz badan teri neem baz ankhen

inhiy haseen fasanon main mehev ho rehta

k zindi teri zulfon ki nerm chaon main

guzerny pati to shadaab ho b sakti thi

ye tergi jo meri zeest ka muqader hai

teri nezer ki shuaon? main kho b sakti thi

pukarten jab mjhy talkhiya zamany ki

tery labon se khilawat k ghunt pi leta

khyaat cheekhti phirti berhana ser or main

ghaneri zulfon k saye main jhup k gee leta

mager ye ho na saka or ab ye aalam hai

k tu nahi tera gum teri justajo b nahi

guzer rahi hai zindgi aesy k

usy kisi k sahary ki arzoo b nahi

na koi jada-e-manzil na roshni ka suragh

bhatak rahi zindgi khallaon main meri

inhiy khalaon main kho ker reh jaon ga

main janta hun meri hum nafs mager unhi

kabhi kabhi mery dil main jhyal aata hai



Mohabat ker len

Ghazal Shayari

G main ata hai koi taza mohabat ker len

uski aadaat main dhalty hue aadat badlen

uski khatir koi chahat koi nafrat badlen

uske hoty hue chahat ka safer badly ga

geet ka haar ka her aik huner badly ga

g main aata hai nai shokh k pehloo se lageen

g main aata hai koi taza mohabat ker len

phir nai zulf k saye main guzaren raten

phir nai ankh main masoom se paiman bandhen

phir naya jism naye andaz k geet

phir nai chaal pe ghazlen kahen, nazmen likhen

phir naye honton ko tasveer karen

jism k zaviye jidadt main bhigo ker dekhen

g main aata hai koi taza mohabat ker len



Ae Ishq…

Ghazal Shayari

Tum ik paris pather ho

jisko choo lo

soona kerdo

soony jesa sunder kerdo

main awarah main nakarah

main bekaar

kash qalam hota hathoon main ya hoti talwaar

ya phir hath huner a legta main hota fankaar

ik ehsaan keroo na mujh per

aony hoont dhero na mujh per

ae ishqa, ae paris pether

main bekal hun main pital hun

choo ker mujhko sona kerdo

sony jesa sunder kerdo



Mera bachpan yahin pe tha

Ghazal Shayari

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha

yahin hansa tha

yahin kahi pe roya tha

yahin darakhton k saye main

?thak k soya tha

yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi

wo hansi jo har pal sath chalti thi

yahin pe tha wo larakpan

yahin kahin pe tha

yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi

yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha

shararat kisi aur n ki thi saza?mujhy thi mili

main kitni dear khara dhoop main raha tanha

tamam yar mery khush meri saza pe thy

yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

?

?

?



Tum tum nahi rahy

Ghazal Shayari

Jis se?bandhy thy dono wo gham nahi rahy

tum tum nahi rahy hum hum nahi rahy

chaht ke geet main hai koi kami yaqeenan

akhir tery mery sur q jam nahi rahy

ro ro k tery dukh main sehra ho gya hun

ab ankh k kinary bhi nam nahi rahy

lamhon k peard per hain kuch phool dard-o-ghum ke

jivan main ab khushi k mosam nahi rahy

tu aur simt main hai main aur simat main hun

ulfat k rasty ab baham nahi rahy


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari