Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Main Khushnaseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu..

Ghazal Shayari

Main khush naseebi hun teri mujhy bhi raas hai tu,
Tera libas hun main aur mera libas hai tu

Ajeeb shay hai mohabat bhi, door hain lekin,
Tery kareeb hun main, mery aas pass hai tu,

Kia hai khud ko faramosh mane tery liye,
Bohat hi aam hai dunya bohot hi khas hai tu,

Zamana hum ko juda kar sake, nahin mumkin,
Mohabbton main jo nakhun hoon main to maas hai tu,

Yeh rait si mere honton pe jam gayi kesi,
Mujhe gumaan tha ke daryaa hoon mein to pyaas hai tu,

Yeh kaun tere mere darmiyaan hai jaana,
Ke main bhi dard hoon aur mehv-e-yaas hai tu..

Wasi Shah



Apne ehsaas se chhuu kar mujhe sandal kar do..

Ghazal Shayari

Apne ehsaas se chhuu kar mujhe sandal kar do,
Main to sadiyon se adhoora hoon mukammal kar do,

Na tumhe hosh rahe aur na mujhe hosh rahe,
Iss qadar toot ke chaaho mujhe paagal kar do,

Tum hatheli ko mere pyaar ki mehndi se rango,
Apni aankhon main mere naam ka kaajal kar do,

Dhoop hi dhoop hoon main toott ke barsso mujh pr,
Iss qadar barsso meri rooh ko jal-thal kar do..

Watch Video



Kangan…

Ghazal Shayari

Kash main tery haseen hath ka kangan hota

to bary pyar se chao se bary maan k sath

apni nazuk si kalai main charhati mujhko

aur betabi se furqat k khizan lamhon main

tu kisi soch main dubi jo ghumati mujhko

?main tery hath ki khushbu se mehek sa jata

kuch nahi to ik yehi benam se bandhan hota

kash main tery haseen hath ka kangan hota



Bicharny se zara pehly

Ghazal Shayari

Haseen yadon main khoya tha bicherny se zara pehly

bara khush fehem soya tha bicherny se zara pehly

wo jis ka hath tk choony ko bait hum samajhty thy

gally se lag k roya tha bicherny se zara pehly

usy maloom tha shayed judai hai muqader main

wo kin sochon main khoya tha bicherny se zara pehly

hamary pyar k gulshan main jisne a ker

ghamon ka beej boya tha bicherny se zara pehly



Mohabat kab badalti hai?

Ghazal Shayari

Musafir to bicharty hain

rafaqt kb badlti hai?

mohabat zinga rehti hai

mohabat kab badalti hai?

tmhi ko chahty hain hum

tmhi se pyar kerty hain

yehi barson se adat hai

or adat kab badalti hai?

kali ka phool banna aur

bikher jana muqader hai

yehi qanoon-e-fitret hai

so fitret kab badalti haii?



Jany Q?

Ghazal Shayari

Jany q shikast ka azaab liye baitha hun

main kia hun aur kia khwab liye baitha hun

usne ik bar kia tha sawak-e-mohabat

main har lamha wafa ka jawab liye phirta hun

usne pucha kab se nahi soya

main rut jagon ka hisaab liye phirta hun

uski khwahish thi meri ankh main pani dekhy

main us waqt se ansuyon ka seelab liye phirta hun

afsoos k wo phir bhi mera na hua

main jis ki arzoo ki kitaab liye phirta hun



Jo guzar gya so guzar gya

Ghazal Shayari

Na gila kia na khafa hue

unhi rasty main juda hue

na wo bewafa, na main bewafa

jo guzar gya so guzar gya

wo ghazal ki aik kitab tha

wo gulon main aik gulab tha

zara dair ka koi khawab tha

jo guzer gya so guzer gya

wo udas dhoop samait ker

kahinwadiyon main uter gya

usy ab na de mery dil sada

jo guzer gya so guzer gya

ye safer bhi kitna taveel tha

yahan waqt kitna qaleel tha

ab loat kr kon aye ga?

jo guzer gya so guzer gya



Ye Dunya bewafa hai

Ghazal Shayari

Kisi ki rah main ankhen bicha ker kuvh nahi milta

ye dunya bewafa hai dil laga ker kuch nahi milta

koi bhi loat ker ata nahin ansoo bahany se

kisi ki yad main dil ko jala ker kuch nahi milta

kisi k dil pe kia guzry kisi ko kia khaber iski

kisi ko apna hal-e-dil suna ker kuch nahi milta



Yadon ko dohrany se

Ghazal Shayari

Kuch rah-e-ishq ki masti thi

kch log thy hum diwany se

jab sheher tera choor dia

dil khoob laga virany main

jo jan se bhi pyary thy

wo loog nazer se door hue

ik teez si dil main uthti hai

ab yadon ko dohrany se

aae mouat zara tu theher to ja

akhir main usko dekh to lun

bat faqat ik pal ki hai

inkar nahi mar jany se



Kahan mumkin tha

Ghazal Shayari

Kahan mumkin tha main dil se teri yaden mita deta

bhala kesy main pir jita ager tujh ko bhula deta

teri ruswaai k dar se si liya labon ko werna

tery sheher-e-munafiq ki main buyaden hila deta

kia usne terk-e-wafa to hogi uski majburi

jisy barson dua di thi usy kesy badua deta

khaber hoti ager mujhko nahin hai tu muqader main

usi lamhy main hathon ki lakeron ko mita deta


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari