Agha Shayar Qazalbash Dehlvi

Ranjish.com has lots of Urdu Agha Shayar Qazalbash Dehlvi Poetry. Feel free to add your own Agha Shayar Qazalbash Dehlvi Shayari here.

Agha Shayar Qazalbash Dehlvi Collection

Agha Shayar Qazalbash Dehlvi Agha Shayar Qazalbash Dehlvi
1871-1940

Agha Shayar Qazalbash Dehlvi was an Urdu poet from Delhi, India. He was a prominent desciple of Daag Dehlvi.
Ranjish.com is the ideal place to find and read Agha Shayar Qazalbash Dehlvi Poetry.



Rone se jo bharraas thi dil ki nikal gayi..

Agha Shayar Qazalbash Dehlvi

Rone se jo bhaRraas thi dil ki nikal gayi,
Ansuu bahaye chaar tabiyat sambhal gayi,

Main ne taras taras ke guzari hai sari umar,
Meri na ho gi jaan jo hasrat nikal gayi,

Bechain hoon main jab se nahin dil-lagi kahin,
Woh dard kya geya ke meri dil ki kal gayi,

Kehta hai chaaragar ke na paye ga indimal,
Acha hua ke zakham ki surat badal gayi,

Ae shamaa hum se soz-e-mohabbat ke zabt seekh,
Kambakht ek raat main saari pighal gayi,

Shakh-e-nihal-e-umar hamari na phal saki,
Yeh to hai woh kali jo nikalte hi jal gayi,

Dekha jo us se pyar se aghyar ki tarf,
Shayar qasam khuda ki meri jaan jal gayi..

رونے سے جو بھڑاس تھی دل کی نکل گئی - آغا شاعر قزلباش



Pehle is main ik adaa thi naaz tha..

Agha Shayar Qazalbash Dehlvi

pehle is main ik adaa thi
Pehle is main ik adaa thi naaz tha andaaz tha,
Roothna ab to teri aadat main shamil ho geya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Agha Shayar Qazalbash Dehlvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari