Ameer Minai

Ranjish.com has lots of Urdu Ameer Minai Poetry. Feel free to add your own Ameer Minai Shayari here.

Ameer Minai Collection

Ameer Minai Ameer Minai
1828-1900

Ameer Ahmad Minai was a prominent Urdu poet born in 1928 in Lucknow. His father, Maulvi Karam Muhammad Minai was a religious scholar. Ahmad Minai was known for his Ghazals, Nazams, Naat and Hamd. His most famous song was “sarakatee jaayey hai rukh se naqab aahista aahista..” which was sung by Jagjit Singh.
Ranjish.com is the right place to find and read Ahmad Meenai poetry.



Haath rakh ke mere seenay pe, jigar thaam liya..

Ameer Minai

Haath rakh ke mere seenay pe, jigar thaam liya,
Tum ne is waqt to girta hua ghar thaam liya..



Uski hassrat hai jise dil se mitaa bhi na sakoon..

Ameer Minai

us ki hassrat hai

Uski hassrat hai jise dil se mitaa bhi na sakoon,
Dhoondne us ko chala hoon jise paa bhi na sakoon,

Daal ke khaak mere khoon pe qaatil ne kaha,
Kuch yeh mehndi nahin meri ke chupaa bhi na sakoon,

Zabt kambakht ne yaan aa ke gala ghonta hai,
Ke usay haal sunaaun to sunaa bhi na sakoon,

Naqssh-e-pa dekh to loon laakh karoon ga sajde,
Sar mera arsh nahin hai jo jhukaa bhi na sakoon,

Bewafa likhte hain woh apne qalam se mujh ko,
Yeh woh qismat ka likha hai jo mitta bhi na sakoon,

Is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanu par,
Apni soyi hui qismat ko jagaa bhi na sakoon..



Be-sabab zalzala aalam main nahin ata..

Ameer Minai

Be-sabab zalzala aalam main nahin ata,
Koi betaab teh-khaaak tarrapta hoga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ameer Minai.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari