Amjad Islam Amjad

Ranjish.com has lots of Urdu Amjad Islam Amjad Poetry. Feel free to add your own Amjad Islam Amjad Shayari here.

Amjad Islam Amjad Collection

Amjad Islam Amjad Amjad Islam Amjad
1944

Amjad Islam Amjad is one of the best poets the world has ever seen. Amjad Islam Amjad Poetry is very popular among middle aged people. has come up with lots of poetry books. We will be trying to bring all of Amjad islam amjad’s poetry books in text format here so you can enjoy reading his poetry online. His poetry books include Fishar, Barzakh, Us par, Satwan dar, and Zara phir say kehna.
Ranjish.com is the ultimate place for Amjad Islam Amjad Poetry fans.



Lafz to sab ke ik jese hain to kese baat khule..

Amjad Islam Amjad

Lafz to sab ke ik jese hain to kese baat khule,
Duniyaa daari kitni hai aur chaahat kitni hai..



Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani..

Amjad Islam Amjad

Mile kese sadiyon ki pyaas aur pani, zara phir se kehna,
Barri dilrubaa hai yeh saari kahani, zara phir se kehna..



Woh jo geet tum ne suna nahin..

Amjad Islam Amjad

Woh jo geet tum ne suna nahin,
Meri umar bhar ka reyaaz* tha,
Mere dard ki thi daastaan,
Jisey tum hansi mein urraa gaye..

(reyaaz;practice)



Ghar mein bhi tanhaa tha mein..

Amjad Islam Amjad

Band tha darwaaza bhi aur ghar mein bhi tanhaa tha mein,
Tu ne kuch mujh se bola tha ya aap hi bola tha mein ..



Han suno dosto, Jo bi dunya kahe..

Amjad Islam Amjad

Han suno dosto,
Jo bi dunya kahe,
Is ko parkhe bina, maan lena nahi
saari dunya ye kehti he,
Parbat pe charne ki nisbat utarna sehal he
Kis tarah maan len,
Tum ne dekha nahi,
Sarfarazi ki dhun me koi admi
Jab bulandi k raste pe chalta he to
Sans tak theek karne ko rukta nahi
Or isi shakhs ka,umar ki seeryo se utartey hue,
pao uthta nahi
Isi liye dosto!!!
Jo b duniya kahe,
Is ko parkhey bina,
Maan lena nahi,



Woh aankhain jheel si gehri to hain magar..

Amjad Islam Amjad

Amjad woh aankhain jheel si gehri to hain magar,
Un mein koi bhi akss bhi mere naam ka nahin..



Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon..

Amjad Islam Amjad

Tum se bicharr kar pehron sochtaa rehtaa hoon,
Ab mein kyon aur kis ki khatir zindaa hoon..



Khud se hain shikaaytain, zindagi se gilaa nahin..

Amjad Islam Amjad

Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,

Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,

Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,

Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,

Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..



Hai Amjad aaj tak woh shakhss dil main..

Amjad Islam Amjad

Hai Amjad aaj tak woh shakhss dil main,
Ke jo uss waqt bhi mera naheen thaa..



Meri sochain badalti ja rahi hain..

Amjad Islam Amjad

Meri sochain badalti ja rahi hain,
Ke yeh cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha aik hai roz-e-azal se,
Fakat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrti thi jo dilon ko,
Woh sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori, na’mukamma khawhishain kyon,
Neyi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon raahain badati ja rahi hain,

Najaney kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Amjad Islam Amjad.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari