Asad Taskeen

Ranjish.com has lots of Urdu Asad Taskeen Poetry. Feel free to add your own Asad Taskeen Shayari here.

Asad Taskeen Collection

Asad Taskeen is a young Urdu Poet. At Ranjish.com you will find lots of ghazals and shers written by Asad Taskeen.



tu agar ab bhi sar e baam nahin aye ga

Asad Taskeen

tu agar ab bhi sar e baam nahin aye ga
cheekhna mera kisi kaam nahin aye ga

kon karta hai mere dost ayadat aese
tere rone se to araam nahin aye ga

saare darwaze khule choR diye hain maine
jao tum par koi ilzaam nahin aye ga



tamam duniya ko tanha kafeel kafi hai

Asad Taskeen

tamam duniya ko tanha kafeel kafi hai
khuda ke hone ki itni daleel kafi hai

hamari pyas ka mahvar tera madina hai
tamam tishna labon ko woh jheel kafi hai



aaghaaz se acha raha anjaam hamara

Asad Taskeen

aaghaaz se acha raha anjaam hamara
logon ko batata nahi woh naam hamara

phir hum se muhabbat ki ataat nahi hogi
ik baar nikal aye agar kaam hamara

bimaar ko bhi chain se sonay nahi deta
is ishq ko bhaata nahi araam hamara

ik din to koi theek nishane pe lage ga
har teer nahi jaye ga nakaam hamara

yuun bhool gaye pehli si parwaz kabutar
lamhon main pohanch jata he paighaam hamara

shohrat ke liye khud ko giraya nahi taskeen
sagar se kabhi chalka nahi jam hamara


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Asad Taskeen.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari