Barar Shah
Ranjish.com has lots of Urdu Barar Shah Poetry. Feel free to add your own Barar Shah Shayari here.Barar Shah Collection
Barar Shah is a young Urdu Poet from Faisalabad, Pakistan. He is known for his friendly mushaira gatherings.
us ne kuch soch kar kaha ho ga
Barar Shah
us ne kuch soch kar kaha hoga
hum ne matlab ghalat liya hoga
yaar mujh ko nikalo wehshat se
yaar koi to raasta hoga
yeh hawaa-on ka kaam hai hi nahin
yeh diyaa qatl hi hua hoga
aap to karbala se aye hain
aap ko to khuda mila hoga
aap bhi aye hain kisi ki jagah
kal ko yeh aap ki jagah hoga
sahraa na de mujhe kabhi daryaa na de mujhe
Barar Shah
sehraa na de mujhe kabhi daryaa na de mujhe
kuch bhi woh shakhss hasb-e-tamanna na de mujhe
jane laga hoon samne se us ke uTh ke main
par dil main hai woh rok le rasta na de mujhe
main aakhri hoon apne qabeele ka aadmi
tu maslehat ki oTt main marwa na de mujhe
ae rab-e-khawb chashm-e-takhayur ki khair ho
jo khawb de hai khawb ka chehra na de mujhe
gira pathar uThana paRr raha hai
Barar Shah
gira pathar uTthana paRr raha hai
talluq hai nibhaana paRr raha hai
aziyat hai yeh sanjeeda mizaaj-i
humen khud ko hansaana paRr raha hai
hum us ke paas hain saare ke saare
usse yeh bhi batana paRr raha hai
main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin
Barar Shah
main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin
sau ishq jaisa mujhe koi masla hi nahin
woh shakhss jis se mujhe bepanah mohabbat hai
kabhi libas-e-bashar main mujhe mila hi nahin
bas aik baar usse muskurate dekha tha
koi nazara nigahon ko phir jacha hi nahin
ajeeb tarz ki mehroom-iyon se guzre hum
jo zindagi tha wohi zindagi main tha hi nahin
woh ankh jo uthi nahin kabhi hum par
woh aik teer jo hum par kabhi chala hi nahin
bas aik soz-e-daroon tha jo jalta bujhta raha
charagh-e-ashq sar-e-taak-e-chashm tha hi nahin
khud apne sath usse dekhna museebat hai
Barar Shah
khud apne sath usse dekhna museebat hai
juda woh mujh se rahe, yeh juda museebat hai
bohat se qareeb se dekha hai ishq koi maine
bata raha hoon tujhe dostaa museebat hai
yeh habs-e-zaat yeh saye yeh dagmagati lau
meri namoon ko yeh aab-o-hawaa museebat hai
kiye huye to ho sar par sawaar us ko barar
tumhi kaho ge ik din yeh kya museebat hai
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Barar Shah.