Faiz Ahmad Faiz

Ranjish.com has lots of Urdu Faiz Ahmad Faiz Poetry. Feel free to add your own Faiz Ahmad Faiz Shayari here.

Faiz Ahmad Faiz Collection

Faiz Ahmad Faiz Faiz Ahmad Faiz
1911-1984

Faiz Ahmad Faiz (فیض احمد فیض) was an influential intellectual and a revolutionary poet. His poetry has been translated in to several languages including English and Russian.
Faiz Ahmed Faiz also appeared in some tv shows. He published eight books and all of them were sold in huge numbers. Faiz Ahmad Faiz also worked for British Indian Army but later submitted his resignation in 1947. He died in 1984, but still remains in the hearts of literature admirers.
Ranjish.com is the best place to read all Faiz Ahmad Faiz Poetry.



Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain..

Faiz Ahmad Faiz

Dil main ab yuun tere bhuule huye gham aate hain,
Jaise bichrre huye kaabe main sanam aate hain,

Ek ik kar ke huye jaate hain taare raushan,
Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain,

Raqss-e-mai taiz karo saaz ki lai taiz karo,
Suu-e-mai-khaana safiraaan-e-haram aate hain,

Kuch hamin ko nahin ehsaan uthaane kaa dimaagh,
Woh to jab aate hain maayel-ba-karam aate hain,

Aur kuch dair na guzre shab-e-furqat se kaho,
Dil bhi kamm dukhta hai woh yaad bhi kamm aate hain..



Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete..

Faiz Ahmad Faiz

Be-dum huye bimaar davaa kyun nahin dete,
Tum achey maseeha ho shifaa kyun nahin dete,

Dard e shab e hijraan ki jazaa kyun nahin dete,
Khuun-e-dil-e-vehshi ka silaa kyun nahin dete,

Mitt jaye gi makhluuq to insaaf karo ge,
Munsif ho to ab hashar uthaa kyun nahin dete,

Haan nukta-varo laao lab-o-dil ki gavaahi,
Haan naghma-gaaro saaz-e-sadaa kyun nahin dete,

Paimaan-e-junuun hathon ko sharmaaye ga kab tak,
Dil walo garebaan kaa pata kyun nahin dete,

Barbaadi-e-dil jabr nahin “faiz” kisi ka,
Woh dushman-e-jaan hai to bhulaa kyun nahin dete.



Baat bass se nikal chali hai..

Faiz Ahmad Faiz

Baat bass se nikal chali hai,
Dil ki haalat sambhal chali hai,

Ab junoon hadh se barrh chala hai,
Ab tabiyat behal challi hai,

Ashk khunaab ho chale hain,
Gham ki rangat badal chalii hai,

Yaa yunhi bujh rahi hain shaamen,
Yaa shab-e-hijr ttal chali hai,

Laakh paighaam ho gaye hain,
Jab sabaa ek pal chalii hai,

Jaao ab so raho sitaaro,
Dard ki raat dhhall chali hai..

بات بس سے نکل چلی ہے - فیض احمد فیض



Aap ki yaad aati rahi raat bhar..

Faiz Ahmad Faiz

Aap ki yaad aati rahi raat bhar,
Chaandni dil dukhaati rahi raat bhar,

Gaah jalti huyi gaah bujhtii huyi,
Sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar,

Koii khushbuu badalti rahi pairahann,
Koii tasvieer gaati rahi raat bhar,

Phir sabaa saaya-e-shaakh-e-gul ke tale,
Koii qissa sunaati rahi raat bhar,

Jo na aya usse koi zanjeer-e-dar,
Har sadaa pr bulaati rahi raat bhar,

Ek umeed se dil behelta raha,
Ik tamanna sataati rahi raat bhar..



Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale..

Faiz Ahmad Faiz

gulon main rang bhare

Gulon mei rang bhare baad-e-nau-bahaar chale,
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale,

Qaffass udaas hai yaaro sabaa se kuch to kaho,
Kahin to behr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale,

Kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aghaaz,
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale,

Barra hai dard ka rishta yeh dil ghareeb sahi,
Tumhaare naam pe aayen ge gham-gusaar chale,

Jo hum pe guzrii so guzrii magar shab-e-hijraan,
Hamare ashk teri aaqibat sanwaar chale,

Huzuur-e-yaar hui daftar-e-junuun ki talab,
Giraah mein le ke garebaan ka taar-taar chale,

Maqaam “faiz” koi raah mein jachaa hi nahin,
Jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale..



Gham na kar, Gham na kar..

Faiz Ahmad Faiz

Gham na kar,
Gham na kar,

Dard thham jaye ga,
Gham na kar,
Yaar laut aayen ge,
Gham na kar,
Zakham bhar jaye ga,
Gham na kar,
Dinn nikal aye ga,
Abar khul jaye ga,
Raat ddhhal jaye gi,
Gham na kar,
Ruut badal jaye gi,
Gham na kar,
Gham na kar…



Dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye..

Faiz Ahmad Faiz

Ab ke baras dastoor-e-sitam me kya kya baab izaad huye,
Jo qaatil the maqtool huye, jo said they ab sayyaad huye,

Pehle bhi khizaan me baagh ujrre pr yoon nahin jese ab ke baras,
Saare bootte pata pata ravish ravish barbaad huye,

Pehle bhi tavaaf-e-sham-e-wafa thi rasm mohabbat walon ki,
Ham tum se pehle bhi yahaan “mansoor” huye “farhaad” huye,

Ik gul ke murjhaane pr kyaa kya gulshan me kohraam macha,
Ik chehra kumhlaa jaane se kitne dil nashaad huye,

Faiz na hum “yusuf” na koi “yaqub” jo hum ko yaad kare,
Apni kya kanaaan me rahe ya misr me jaa abaad huye..



Dono jahaan teri mohabbat main haar ke..

Faiz Ahmad Faiz

duniya ne teri yaad se begana kar diya

Dono jahaan teri mohabbat main haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,

Veeran hai mai-kada khoom o saaghar udaas hain,
Tum kya gayee ke rooth gaye din bahaar ke,

Ik fursat-e-gunaah mili woh bhi chaar din,
Dekhe hain ham ne hausle parvardigaar ke,

duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-faraib hain gham rozgaar ke,

Bhoole se muskuraa to diye they woh aaj “faiz”,
Mat pooch valvale dil-e-naa-kardaa-kaar ke..



Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen…

Faiz Ahmad Faiz

Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen,
dil thehre to dard sunaayen dard thamme to baat karen,

shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,
ghar ko aag lagaayen ham bhi roshan apni raat kahen,

qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahuu apni gardan par,
mohr-ba-lab bethe hain kis ka shikva kis ke saath karen,

hijr main shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,
subh ki viraani me yaaro kaise basar aukaat karen..



Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai..

Faiz Ahmad Faiz

dil na'umeed to nahin
Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki sham, magar shaam hi to hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Faiz Ahmad Faiz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari