Faiz Ahmad Faiz
Ranjish.com has lots of Urdu Faiz Ahmad Faiz Poetry. Feel free to add your own Faiz Ahmad Faiz Shayari here.Faiz Ahmad Faiz Collection
![]() |
Faiz Ahmad Faiz 1911-1984 |
Faiz Ahmad Faiz (Ùیض اØÙ…د Ùیض) was an influential intellectual and a revolutionary poet. His poetry has been translated in to several languages including English and Russian.
Faiz Ahmed Faiz also appeared in some tv shows. He published eight books and all of them were sold in huge numbers. Faiz Ahmad Faiz also worked for British Indian Army but later submitted his resignation in 1947. He died in 1984, but still remains in the hearts of literature admirers.
Ranjish.com is the best place to read all Faiz Ahmad Faiz Poetry.
Har haqeeqat majaaz ho jaye..
Faiz Ahmad Faiz
Har haqeeqat majaaz ho jaye,
Kaafiron ki namaaz ho jaye,
Dil rahin-e-niyaz ho jaye,
Bekassi kaarsaaz ho jaye,
Minnat-e-charasaaz kaun kare,
Dard jan jaan-nawaz ho jaye,
Ishq dil main rahe to ruswa ho,
Lab pe aaye to raaz ho jaye,
Lutf ka intizaar karta hon,
Jaur ta hadh-e-naaz ho jaye,
Umr be-suud katt rahi hai Faiz,
Kaash ifsha-e-raaz ho jaye..
Chaand nikle kisi jaanib teri zebaayi ka..
Faiz Ahmad Faiz
Chaand nikle kisi jaanib teri zebaayi ka,
Rang badle kisi surat shab-e-tanhayi ka,
Daulat-e-lab se phir ayi khusrav-e-shirin-dahanan,
Aaj arzaan ho koi harf shanasaayi ka,
Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanaan,
Tazkraa cherre teri pairahan-e-araayi ka,
Sehn-e-gulshan main kabhi ai shah-e-shamshad-qadan,
Phir nazar aaye saliqa teri raaanaayi ka,
Ek baar aur maseeeha-e-dil dil-zadagan,
Koi vaada koi iqraar masihaayi ka,
Deeda o dil sambhaalo ke sar-e-shaam-e-firaq,
Saaz-o-samaan baaham pohancha hai ruswayi ka..
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke..
Faiz Ahmad Faiz
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..
Aaye kuch abr kuch sharaab aye..
Faiz Ahmad Faiz
Aye kuch ab kuch sharab aye,
Is ke baad aye jo azaab aye,
Bam-e-mina se mehtab utre,
Dast-e-saaqi main aftab aye,
Har rang-e-khun main phir charaghan ho,
Samne phir woh be-naqab aye,
Umar ke har varq pe dil ki nazar,
Teri mehr-o-wafaa ke baab aye,
Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab,
Aj tum yaad be-hisaab aye,
Na gayi tere gham ki sardari,
Dil main yuun roz inqalab aye,
Is tarah apni khamoshi goonji,
Goya har samt se jawab aye,
Faiz thi raah sar-ba-sar manzil,
Hum jahan pohanche kamyab aye..
Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge..
Faiz Ahmad Faiz
Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete..
Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge..
Faiz Ahmad Faiz
Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge hum,
Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..
Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main ..
Faiz Ahmad Faiz
Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Faiz Ahmad Faiz
Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay
Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahi..
Faiz Ahmad Faiz
Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki..
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Faiz Ahmad Faiz
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Faiz Ahmad Faiz.