Imran Aami

Ranjish.com has lots of Urdu Imran Aami Poetry. Feel free to add your own Imran Aami Shayari here.

Imran Aami Collection

Imran Aami a seasoned Urdu Poet from the city of Rawalpindi, Pakistan.



khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha

Imran Aami

khuda ko logon ke nazdeek lana chahta tha
main apne gaon main masjid banana chahtha tha

kuch is liye bhi meri khudkushi zaroori thi
main aik umar ka jhagRa miTaana chahta tha

main chahta tha woh rotay main muskura uthe
main us ki aankh se misra churana chahta tha

kisi mazaar ki zeenat bana diya gaya hai
main jis charagh ko suraj banana chahta tha

main is liye bhi zara fasle pe theher gaya
woh mujh se mil ke bohat door jana chahta tha

main chahta tha ke woh mujh se dil ki baat kare
main aik ghaar se pathar haTana chahta tha

ab us ki aankh nahin lag rahi kahin aami
jo saray sheher ki neendain uRana chahta tha



jo sach kahoon pas-e-deewar jhoot bolte hain

Imran Aami

jo sach kahoon pas-e-deewar jhoot bolte hain
mere khilaaf mere yaar jhoot bolte hain

mili hai jab se inhe bolne ki azaadi
tamaam sheher ke akhbar jhoot bolte hain

main mar chuka hoon mujhe kyun yaqeen naheen ata
to kya yeh mere azadaar jhoot bolte hain

main sochta hoon ke dum lain to inhe tokoon
magar yeh log lagataar jhoot bolte hain



hamare gaaon ke college main kya paRrhati hai

Imran Aami

hamare gaaon ke college main kya paRrhati hai
woh khud ko sab se baRri aalima batati hai

ajeeb tarah ki laRrki hai yeh mohabbat bhi
ke baat sunti naheen aur bole jati hai

kisi ne hum se kaha us ka naam khushbu hai
jo phool bechne gaaon se sheher aati hai

ghulam jaag rahe hain yeh dekhne ke liye
ke shahzadi kise takht pe sulati hai

jo bhoolna hai to phir bhool kar dikha bhi mujhe
yeh roz kya tu mujhe phone par sunaati hai

hamare sheher main aesi bhi aik laRrki hai
jo dekh sakti naheen dekhna sikhati hai

zara si baat pe itni laRrayi theek naheen
nashe main achi buri baat ho bhi jati hai



Kuch fasle pe thehra hua hoon chaTtaan se..

Imran Aami

kuch fasle pe thehra hua hoon chaTtaan se
ik but khareedna hai khuda ki dukaan se

ik umar beth kar main yahi dekhta raha
yeh kaun dekhta hai mujhe aasmaan se

pehle to us ne sher sune mujh se mir ke
phir us ko ishq ho gaya urdu zaban se



Yuun bhi bhook miTa sakta hai..

Imran Aami

Yuun bhi bhook miTa sakta hai,
Banda miTi kha sakta hai,

Ik luqme ki ujrat kya hai,
Ik mazdoor bata sakta hai,

Ahista se paon rakhna,
Kamra shor macha sakta hai,

MiTi ki khasslat main kya hai,
Yeh iblees bata sakta hai,

Kitni dair ik bhenss ke aage,
Banda been baja sakta hai,

Jibrael se aage aami,
Ishq musafir ja sakta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Imran Aami.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari