Jalil Aali

Ranjish.com has lots of Urdu Jalil Aali Poetry. Feel free to add your own Jalil Aali Shayari here.

Jalil Aali Collection

Jalil Aali is an Urdu poet from Rawalpindi, Pakistan.



Rasta sochte rehne se kidhar banta hai..

Jalil Aali

Rasta sochte rehne se kidhar banta hai,
Sar main saudaa ho to deewar main dar banta hai..



Ajab asbab karta ja raha hoon..

Jalil Aali

Ajab asbab karta ja raha hoon,
Lahu seemab karta ja raha hoon,

Main apni mauj main ik raqss-e-digar,
Sar-e-girdab karta ja raha hoon,

Azal se jagti ankhon jahan main,
Basar ik khawb karta ja raha hoon,

Sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara,
Usse mahtab karta ja raha hoon,

Jo dil ik umar se banjar paRre they,
Unhen sairab karta ja raha hoon,

Main rah-e-shauq ki har kankari ko,
Dur-e-nayab karta ja raha hoon,

Woh ejaz-e-sukhan bakhsha hai us ne,
ChaTtanen aab karta ja raha hoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jalil Aali.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari