Jon Elia

Ranjish.com has lots of Urdu Jon Elia Poetry. Feel free to add your own Jon Elia Shayari here.

Jon Elia Collection

Find the best poetry of Jon Elia. Jon Elia or Jaun Elia was a famous male poet from Pakistan. Some say that Jaun was not interested in publishing his poetry until his very last years. The reason behind this is believed to be his idleness for publishing his fathers poetry, which he was very ashamed of and later decided that he will not publish his own poetry too. . We bring you the best poetry of Jon Elia in urdu language. Jon’s poetry books were Shayad, Ya’ani, Gumaan, Lekin, Goya and Famood.
Another belief is that a vast majority of his poetry remained unpublished and was lost during his time of death.

jaun elia Jon Elia
1931-2002

Jon Elia was known to be fluent in Urdu, Arabic, English, Persian and Sanskrit.



Ab kharra soch raha hoon logo..

Jon Elia

Ab kharra soch raha hoon logo,
Kyun kiya tum ko ikatha maine..



Apne sab yaar kaam kar rahe hain..

Jon Elia

Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain,

Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain,

Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain,

Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain,

Hai woh bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain,

Aik qataala chahiye hum ko,
Hum yeh elaan-e-aam kar rahe hain,

Na uthe aah ka dhuaan bhi ke woh,
Ku-e-dil main khiraam kar rahe hain,

Us ke honton pe rakh ke hont apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain,

Hum ajab hain ke us ke kuchay main,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain..

اپنے سب یار کام کر رہے ہیں - جون ایلیا

Watch Video



Masoom kis qadar tha main..

Jon Elia

masoom kis qadar

Masoom kis qadar tha main aghaaz-e-ishq main,
Aksar to us ke saamne sharmaa geya hoon main..



Yeh gham kya dil ki aadat hai? nahin to..

Jon Elia

Yeh gham kya dil ki aadat hai? nahin to!
Kisi se kuch shikayat hai? nahin to!

Hai woh aik khawb-e- be-tabeer us ko,
Bhula dene ki niyat hai? nahin to!

Kisi ke bin, kisi ki yaad ke bin,
Jiye jaane ki himmat hai? nahin to!

Kisi surat bhi dil lagta nahin.
Haan, to kuch din se yeh halat hai? nahin to!

Tere is haal per hai sab ko hairat,
Tujhe bhi iss pe hairat hai? nahin to!

Hum-aahngi nahin duniya se teri,
Tujhe iss per nidaamat hai? nahin to!

Aziyat-naak umeedon se tujh ko,
Amaa’n paane ki hassrat hai? nahin to!

Tu rehta hai khayal-o-khawb main gum,
To iss ki wajah furssat hai? nahin to!

Wahan walon se itni mohabbat,
Yahan walon se nafrat hai? nahin to!

Sabbab jo is judaayi ka bana hai,
Woh mujh se khoobsurat hai? nahin to!



Har baar mere samne aati rahi ho tum..

Jon Elia

Har baar mere samne aati rahi ho tum,
Har baar tum se mil ke bicharta raha hon main,
Tum kaun ho yeh khud bhi anhin janti ho tum,
Main kaun hoon yeh khud bhi nahin janta hon main,
Tum mujh ko jaan kar hi parri ho azaab main,
Aur iss tarah khud apni saza ban geya hoon main,

Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahin,
Pass sar-ba-sar aziyat o aazaar hi raho,
Bezaar ho gayi ho bohat zindagi se tum,
Jab bass main kuch nahin to bezaar hi raho,
Tum ko yahan ke saaya o partau se kya gharazz,
Tum apne haq main beech ki dewaar hi raho,

Main ibtidaa se ishq se be-mehr hi raha,
Tum intihaa-e-ishq ka meyaar hi raho,
Tum khoon thookti ho yeh sun kar khushi huyi,
Iss rang is adaa mai bhi purkaar hi raho,

Main ne yeh kab kaha tha mohabbat main hai nijaat,
Main ne yeh kab kaha tha wafadaar hi raho,
Apni mata-e-naaz lutaa kar mere liye,
Bazar-e-iltifaat main nadaar hi raho,

Jab main tumhen nishaat-e-mohabbat na de saka,
Gham main kabhi sukuun-e-rifaaqat na de saka,
Jab mere sab charaagh-e-tamanna havaa ke hain,
Jab mere saarey khawb kisi bewafaa ke hain,
Phir mujh ko chaahne ka tumhe koi haq nahin,
Tanhaa karaahne ka tumhen koi haq nahin..



Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin..

Jon Elia

mera ik mashwara hai iltijaa nahin
Mera ik mashwraa hai iltijaa nahin,
Tu mere paas se is waqt jaa nayeen,

Koi dum chain parr jata mujhe,
Magar main tujh se dum bhar ko juda nayeen,

Safar darpesh hai aik be-masaafat,
Masaafat ho to koi faasla nayeen,

Mohabbat kuch na this juz bad-hawaasi,
Ke woh band-e-qabaa hum se khulaa nayeen,

Chalaaye teer to kis kis ne lekin,
Mera qaatil koi tere siwaa nayeen,

Bicharr kar jaan tere aastaan se,
Lagaya jee bohat pr jee laga nayeen,

Hamara aik hi to mudaa.aa tha,
Hamara aur koi mudaa.aa nayeen,

Kabhi khud se mukkar jaane me kya hai,
Main dastaawaiz pr likha hua nayee,

Yahin sab kuch tha jis dum woh yahan tha,
Chale jaane se us ke jaane kya nayeen,

Woh hijr o vasl tha sab khawb dar khawb,
Woh saara maajraa jo tha, woh tha nayeen,

Judaayi apni be-rudaad si thi,
Ke main roya na tha, aur phir hansa nayeen..



Umar guzre gi imtihaan main kya..

Jon Elia

Umar guzre gi imtihaan main kya,
Daagh hi do ge daan main kya,

Khamoshi keh rahi hai kaan main kya,
Aa raha hai mere gumaan main kya,

Ab koi mujh ko tokta bhi nahin,
Yehi hota hai khaandaan main kya,

Bolte kyun nahin mere haq main,
Aable parr gaye zabaan main kya,

Meri har baat be-assar hi rahi,
Nuqss hai kuch mere beyaan main kya,

Woh mile to yeh poochna hai mujhe,
Ab bhi hoon main teri amaan main kya,

Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakss tha jahaan main kya..

عمر گزرے گی امتحان میں کیا - جون ایلیا

Watch Video



Ik teri baraabri ke liye..

Jon Elia

ik teri baraabri ke liye
Ik teri baraabri ke liye,
Khud ko kitna gira chuka hon main..



Zindagi kya hai aik kahaani hai..

Jon Elia

Zindagi kya hai aik kahaani hai,
Yeh kahani nahin sunaani hai,

Hai khuda bhi ajeeb yaani jo,
Na zameeni na aasmaani hai,

Hai mere shauq-e-vasl ka yeh gila,
Us ka pehlu sara-e-faani hai,

Yeh hai lamhon ka ek shehr-e-azal,
Yaan ki har baat na-gahani hai,

Rang ki apni baat hai warna,
Aakhirash khuun bhi to paani hai,

Shaam hai aur sehn main dil ke,
Ik ajab huzn-e-aasmani hai..



Ab ku-e-yaar tere zamaane guzar gaye..

Jon Elia

Ab ku-e-yaar tere zamaane guzar gaye,
Jo apne ghar se aaye they woh ghar gaye,

Ab kaun zakham-o-zeher se rakhe ga silsila,
Jeene ki ab havass hai humen hum to mar gaye,

Ab kya kahoon ke saara mohalla hai sharamsaar,
Main hoon azaab main ke mere zakham bhar gaye,

Hum ne bhi zindagi ko tamaasha bana diya,
Uss se guzar gaye kabhi khud se guzar gaye,

Tha ran bhi zindagi ka ajab turfa maajra,
Yaani uthe to paaon magar Jon sar gaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jon Elia.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari