Jon Elia
Ranjish.com has lots of Urdu Jon Elia Poetry. Feel free to add your own Jon Elia Shayari here.Jon Elia Collection
Find the best poetry of Jon Elia. Jon Elia or Jaun Elia was a famous male poet from Pakistan. Some say that Jaun was not interested in publishing his poetry until his very last years. The reason behind this is believed to be his idleness for publishing his fathers poetry, which he was very ashamed of and later decided that he will not publish his own poetry too. . We bring you the best poetry of Jon Elia in urdu language. Jon’s poetry books were Shayad, Ya’ani, Gumaan, Lekin, Goya and Famood.
Another belief is that a vast majority of his poetry remained unpublished and was lost during his time of death.
Jon Elia 1931-2002 |
Jon Elia was known to be fluent in Urdu, Arabic, English, Persian and Sanskrit.
Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha..
Jon Elia
Ab woh ghar tak viraana tha bas viraana zinda tha,
Sab aankhen damm torr chuki theen aur main tanha zinda tha,
Saari galli sunsaan parri thi baad-e-fana ke pehre main,
Hijr ke dalaan aur aangan main bass ik saaya zinda tha,
Woh dopeher apni rukhsat ki aisa waisa dhoka thi,
Apne andar apni laash uthaaye main jhuuta zinda tha,
Theen woh ghar raaten bhi kahaani vaade aur phir din ginn’na,
Aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha,
Dasstak dene waale bhi they dastak sunn’ne waale bhi,
Thaa abaad mohallah saara har darwaaza zinda tha,
Peele patton ko seh-pehr ki vehshat pursaa deti thi,
Aangan main ik aundhe gharre par bass ik kavva zinda tha..
Aakhri baar aaah kar li hai..
Jon Elia
Aakhri baar aaah kar li hai,
Maine khud se nibaah kar li hai,
Apne sar ik balaa to leni thi,
Maine woh zulff apne sar li hai,
Din bhalaa kis tarah guzaro ge,
Vasl ki shab bhi ab guzaar li hai,
Jaan-nisaaron per vaar kya karna,
Maine bass hat me sipar li hai,
Jo bhi maango udhaar doon ga main,
Uss gali me dukaan kar li hai,
Mera khashkol kab se khaali hai,
Maine iss me sharaab bhar li hai,
Aur to kuch nahin kiya mene,
Apni haalat tabaah kar li hai,
Shaikh aaya tha mohtasib ko liye,
Maine bhi un ki woh khabar li hai..
Abhi farmaan aya hai wahan se..
Jon Elia
Abhi farmaan aya hai wahan se,
Ke hatt jaaon main apne darmiyaan se,
Yahan jo hai tanaffus hi main gum hai,
Parinde urr rahe hian shakh-e-jaan se,
Daricha baaz hai yadon ka aur main,
Havaa sunta hoon peirron ki zubaan se,
Zamana tha woh dil ki zindagi ka,
Teri furqat ka din laaun kahan se,
Tha ab tak maarka bahar ka darpesh,
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se,
Falaaa’n se thi ghazal behtar falaaa’n ki,
Falaaa’n ke zakhm ache they falaaa’n se,
Khabar kya doon main shehr-e-raftagaan ki,
Koi lautte bhi shehr-e-raftagan se,
Yehi anjaam kya tujh ko havass tha,
Koi puche to meer-e-daastan se..
Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi..
Jon Elia
Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi,
Aakhir harjj kya tha usey manaane mein..
Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de..
Jon Elia
Gham-e-shaoor koi damm to mujh ko mohlat de,
Tamaam umar jalaya hai apna jee meine..
Tum mera naam kyun nahin leti….
Jon Elia
Sharam, dehshat, jijhakk, pareshaani,
Naaz se kaam kyun nahin leti,
Aap, woh, ji magar, yeh sab kya hai,
Tum mera naam kyun nahin leti..
Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to..
Jon Elia
Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..
Aap apna ghubaar they hum to..
Jon Elia
Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..
Yoon jo takta hai asmaan ko tu..
Jon Elia
Yoon jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta hai aasman main kya,
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan main kya..
Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon..
Jon Elia
Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Jon Elia.