Khalid Nadeem Shani

Ranjish.com has lots of Urdu Khalid Nadeem Shani Poetry. Feel free to add your own Khalid Nadeem Shani Shayari here.

Khalid Nadeem Shani Collection

Khalid Nadeem Shani is a prominent Urdu poet from Pakistan. Known for his ghazal “Gham zeyada hain lifafe main nahin ayen ge”.

Khalid Nadeem Shani Poetry



zameen choRri hai maine na asmaan maine

Khalid Nadeem Shani

zameen choRri hai maine na asmaan maine
tumhain pukara nahin hai kahan kahan maine



sari khalqat rula ke sona hai

Khalid Nadeem Shani

sari khalqat rula ke sona hai
us ko jis din bhula ke sona hai



yaar tumhari halat se aese lagta hai

Khalid Nadeem Shani

yaar tumhari halat se aese lagta hai
tum ne pehli bar museebat dekhi hai



kisi tarah se bhi kamzor kyun banaon usse

Khalid Nadeem Shani

kisi tarah se bhi kamzor kyun banaon usse
main apni beti ko beta nahin pukar-on ga



bas aaj waqt par sone ki chaah hai mujh ko

Khalid Nadeem Shani

bas aaj waqt par sone ki chaah hai mujh ko
dua karo ke khauf thakan se zeyada ho



paaon darya main Daal kar boli

Khalid Nadeem Shani

paaon darya main Daal kar boli
aese lagti hai aag paani main



biTtiya rani se jhoot bolte ho

Khalid Nadeem Shani

biTtiya rani se jhoot bolte ho
zindagani se jhoot bolte ho

tab kahani pe kya guzarti hai
jab kahani se jhoot bolte ho

zindagi maut ke mamle par
daar -e- fani se jhoot bolte ho

tum zameeni khuda ke Ddar se kyun
aasmani se jhoot bolte ho

paRrhte rehte ho jaun ko phir bhi
yaar jani se jhoot bolte ho

tum taraqi karo ge tezi se
tum rawani se jhoot bolte ho

us ki ankhon main dekh kar khalid
gehre pani se jhoot bolte ho

sari duniya ka dukh nahin mujh ko
tum bhi shani se jhoot bolte ho



sari khalqat rula ke sona hai

Khalid Nadeem Shani

sari khalqat rula ke sona hai
us ko jis din bhula ke sona hai

tez aandhi hai janta hoon main
par dia to jala ke sona hai

aj likh-on ga aik kahani main
us ko apna bana ke sona hai

us ki marzi hai jitne din roothe
maine us ko mana ke sona hai

hasrat -e- khawb teri khair nahin
aj tujh ko sula ke sona hai



saari khushi-yan mila ke dekhi hain

Khalid Nadeem Shani

saari khushi-yan mila ke dekhi hain
tere jane ka gham zeyada hai



kisi ke honTon pe ayi hansi ko dukh mat do

Khalid Nadeem Shani

kisi ke honTon pe ayi hansi ko dukh mat do
kisi ka dil mat dukhao kisi ko dukh mat do

khuda ki marzi samajh kar mujhe bhula do bas
zara si baat pe ab zindagi ko dukh mat do

guzar chuka hai yeh kirdar is kahani se
sadaa-en de ke meri khamshi ko dukh mat do

gali gali main tamasha lagaye phirte ho
jadeed sher kaho shayari ko dukh mat do


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Khalid Nadeem Shani.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari