Khumar Barabankvi

Ranjish.com has lots of Urdu Khumar Barabankvi Poetry. Feel free to add your own Khumar Barabankvi Shayari here.

Khumar Barabankvi Collection



Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi..

Khumar Barabankvi

Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat main woh pehli si shiddat nahi rahi..



Dushmanon se pyar hota jaye ga..

Khumar Barabankvi

Dushmanon se pyar hota jaye ga,
Doston ko aazmaate jayiye..



Hansne wale ab aik kaam karen..

Khumar Barabankvi

Hum bhi jo kar len roshni ghar main

Hansne wale ab aik kaam karen,
Jashn-e-girya ka ehtimaam karen,

Hum bhi kar len jo raushni ghar main,
Phir andhere kahan qayaam karen,

Mujh ko mehrumi-e-nazara qubool,
Aap jalve na apne aam karen,

Aa chalen us ke dar pe ab ae dil,
Zindagi ka safar tamaam karen,

Hath uthta nahin hai dil se khumar,
Hum unhen kis tarah sallam karen..

Hansne waley ab aik kaam karen - Khumar Barabankvi



Hadh se barrhe jo ilm to hai jahl dosto..

Khumar Barabankvi

sab kuch jo jante hain woh kuch jante nahi

Hadh se barrhe jo ilm to hai jahl dosto,
Sab kuch jo jaante hain woh kuch jaante nahi..



Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi..

Khumar Barabankvi

Aesa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat main woh pehli si shiddat nahin rahi,

Sar main woh intezaar ka saudaa nahin raha,
Dil pr woh dharkanon ki hakoomat nahin rahi,

Kamzori-e-nigaaah ne sanjeeda kar diya,
Jalvon se cherr-chaarr ki aadat nahin rahi,

Chehre ko jhuriyon ne bhayaanak bana diya,
Aayina dekhne ki bhi himmat nahin rahi,

Allah jaane maut kahan mar gayi khumar,
Ab mujh ko zindagi ki zaroorat nahin rahi..

ایسا نہیں کہ ان سے محبت نہیں رہی - خمارؔ بارہ بنکوی



Haal-e-gham un ko sunaate jayiye..

Khumar Barabankvi

khumar barabankvi poetry

Haal-e-gham un ko sunaate jayiye,
Shart yeh hai muskuraate jayiye,

Aap ko jaate na dekha jaye ga,
Shamaaa kp pehle bujhaate jayiye,

Shukria lutff-e-musalssal ka magar,
Gaahe-gaahe dil dukhaate jayiye,

Dushmanon se pyaar hota jaaye ga,
Doston ko aazmaate jayiye,

Roshni mehdood ho jin ki ‘khumar’,
Un charaaghon ko bujhaate jayiye..



Wohi phir mujhe yaad anay lage hain,

Khumar Barabankvi

khumar barabankvi poetry

Wohi phir mujhe yaad anay lage hain,
Jinhe bhoolne main zamane lage hain,

Woh hain paas aur yaad anay lage hain,
Mohabbat ke hosh ab thikaane lage hain,

Suna hai hamen woh bhulaane lage hain,
To kya hum unhe yaad anay lage hain,

Hattaaye they jo raah se doston ki,
Woh pathar mere ghar main anay lage hain,

Yeh kehna tha un se mohabbat hai mujh ko,
Yeh kehne main mujh ko zamaane lage hain,

Hawaayen chalin aur na maujen utheen,
Ab aese bhi tufaan anay lage hain,

Qayamat yaqeenan qareeb aa gayi hai,
Khumar ab to masjid main jaane lage hain..



Na haara hai ishq aur na duniya thaki hai..

Khumar Barabankvi

khumar barabankvi poetry

Na haara hai ishq aur na duniya thaki hai,
Diyaa jal raha hai havaa chal rahi hai,

Sukoon hi sukoon hai khushi hi khushi hai,
Tera gham salaamat mujhe kya kammi hai,

Charaghon ke badle makaan jal rahe hain,
Naya hai zamaana nayi roshni hai,

Aray o jafaaon pe chup rehne walo,
Khamoshi jafaaon ki taayid bhi hai,

Mera rehbar mujh ko gumraah na kar de,
Suna hai ke manzil qareeb aa rahi hai,

Khumar -e- bala-nosh ki to aur tauba,
Tujhe zaahidon ki nazar lag gayi hai..



Husn jab meherbaan ho to kya kijiye..

Khumar Barabankvi

Husn jab meherbaan ho to kya kijiye,
Ishq ki maghfirat ki duaa kijiye,

Zindagi katt rahi hai barre chain se,
Aur gham hon to woh bhi ataa kijiye..



Ae maut unhe bhulaaye zamane guzar gaye..

Khumar Barabankvi

Ae maut unhe bhulaaye zamane guzar gaye,
Aa ja ke zehr khaaye zamaane guzar gaye,

O jaane wale aa ke tere intizaar main,
Raaste ko ghar banaye zamane guzar gaye,

Gham hai na ab khushi hai na umeed hai na aas,
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,

Kyaa laayeq sitam bhi nahin ab main dosto,
Pathar bhi ghar main aaye zamaane guzar gaye,

Jaan-e-bahaar phool nahin aadmi hoon main,
Aa ja ke muskuraaye zamaane guzar gaye,

Kya kya tavaquaat theen aahon se ae “khumaar”,
Yeh teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Khumar Barabankvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari