Mirza Ghalib

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Ghalib Poetry. Feel free to add your own Mirza Ghalib Shayari here.

Mirza Ghalib Collection

Mirza Ghalib
1797-1869

Mirza Galib Poetry is loved by urdu poetry lovers around the world. Mirza Ghalib is one of the most popular poets from Delhi. Galib’s primary topic was romance, love and sadness. His real name was Mirza Asadullah Beg Khan. We have got lots of Galib Shayari collection for our users.
Ghalib was born in 1797. He was undoubtedly the most popular urdu poet the world has ever seen. He has written poetry on almost all the situations of life and love.
At Ranjish.com, you can get lots of Ghalib Poetry to read and enjoy.



Bass ke dushvaar hai har kaam ka asaan hona..

Mirza Ghalib

bas ke dushwaar hai har kaam ka asaan hona

Bass ke dushvaar hai har kaam ka asaan hona,
Aaadmi ko bhi muyassar nahin insaan hona,

girya chaahe hai kharaabi mere kaashaane ki,
dar-o-deewaar se ttapke hai bayabaan hona,

vaaye-deewangi-e-shoq ki har damn mujh ko,
aap jaana udhar aur hi hairaan hona,

jalva az-bas-ki taqaaza-e-nigah karta hai,
johar-e-aayina bhi chaahe hai mizhgaan hona,

ishrat-e-qatl-gah-e-tamanna mat pooch,
eid-e-nazaara hai shamsheer ka uryaan hona,

le gayi khaak me ham daagh-e-tamanna-e-nashaat,
tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistaan hona,

ishrat-e-paara-e-dil zakhm-e-tamanna khaana,
lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e- namak-daan hona,

Kii mere qatl ke baad uss ne jafaa se tauba,
haaye us zood-e-pashemaan ka pashemaan hona,

haif uss chaar girah kaprre ki qismat “ghalib”,
jis ki qismat me ho aashiq ka garebaan hona..



Qataa kijiye na taluq hum se..

Mirza Ghalib

Qataa kijiye na taluq hum se,
Kuch nahi hai to adaavat hi sahi..



Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi..

Mirza Ghalib

Rahi na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhi,
To kis umeed pe kahiye ke arzuu kya hai..



Baad marne ke mere ghar se yeh samaan niklaa….

Mirza Ghalib

Chand tasaveer-e-butaan, chand haseenon ke khatoot*.
Baad marne ke mere ghar se yeh samaan niklaa..

(khatoor;letters)



Meri kismat mein gham gar itna tha..

Mirza Ghalib

Meri kismat mein gham gar itna tha,
Dil bhi yaa rab kayi diye hotay..



Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota..

Mirza Ghalib

Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota,
Diboyaa mujhe ko hone ne, na hota mein to kya hota..



Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye..

Mirza Ghalib

Ronay se aur ishq mein be-baak ho gaye,
Dhoye gaye hum itney ke bass paak ho gaye..



Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho..

Mirza Ghalib

Rahiye ab aesi jagha chal kar jahan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho, aur hum-zubaan koi na ho,

Parriye gar beemar to koi na ho teemar’daaar*,
Aur agar mar jaayiye to noha-khuwaa’n* koi na ho..

(teemar’daaar;caretaker, noha-khuwaa’n;noha reciter)



Ye na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota..

Mirza Ghalib

Ye na thi hamari kismat ke visaal-e-yaar hota,
Agar aur jeetey rehtey, yehi intezaar hota,

Tere vaade pr jiye hum to yeh jaan jhoot jaana,
Ke khushi se mar na jaate agar aitbaar hota,

Teri naazuki se jana ke bandha tha ehd-boda,
Kabhi tu na torr sakta agar ustuvaar hota,

Koi mere dil se puuche tere teer-e-neem-kash ko,
Yeh khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hota,

Yeh kahan ki dosti hai ke bane hain dost naaseh,
Koi charaa-saaz hota koi gham-gusaar hota,

Rag-e-sang se tapaktaa woh lahuu ke phir na thamta,
Jise gham samajh rahe ho yeh agar sharaar hota,

Gham agarche jaan-guseel hai pr kahan bachen ke dil hai,
Gham-e-ishq gr na hota gham-e-rozgaar hota,

Kahoon kis se main ke kya hai shab-e-gham buri balaa hai,
Mujhe kya buraa tha marna agar aik baar hota,

Huye mar ke hum jo rusvaa huye kyun na gharq-e-dariyaa,
Na kabhi janaaza uthta na kahin mazaar hota,

Ussey kaun dekh sakta ke yagaana hai woh yakta,
Jo duii ki buu bhi hoti to kahin do chaar hota,

Yeh masaayel-e-tasavvuf yeh tera beyaan Ghalib,
Tujhe hum walli samajhte jo na baada-khuwaar hota..



Ishq per zor nahin, yeh woh aatish..

Mirza Ghalib

Ishq per zor nahin, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bujhayy..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Ghalib.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari