Mohsin Naqvi
Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Naqvi Poetry. Feel free to add your own Mohsin Naqvi Shayari here.Mohsin Naqvi Collection
![]() |
Mohsin Naqvi 1947-1996 |
Mohsin Naqvi is our personal favorite poet. Mohsin Naqvi’s Poetry tends to be so relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996. Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered one day.
We have got plenty of Mohsin Naqvi poetry here at Ranjish.com so you can enjoy.
Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Mohsin Naqvi
Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Mohsin Naqvi
Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki
Jis ko samajhney mein mujh ko umar lagi..
Mohsin Naqvi
Woh shakhs jis ko samajhney mein mujh ko umar lagi,
Bicharr ke mujh se kissi kaa ho na saka hoga..
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha
Mohsin Naqvi
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai..
Mohsin Naqvi
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,
Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,
Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,
Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,
Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,
Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,
Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..
Apne aap se phirtey hain beganey kyon..
Mohsin Naqvi
Apne aap se phirtey hain beganey kyon,
Sheher mein aakar log huye deewaney kyon,
Hum ne kab maani thi baat zamaney ki,
Aaj hamari baat zamana maaney kyon,
Woh jungle ke phoolon per kyon marta hai,
Us ko achey lagte hain veeraney kyon,
Sachi baat se ghabraney ki aadat kya,
Jhootey logon se apne yaraaney kyon,
Halwat* mein jo aankh milatey darta ho,
Mailey mein woh shakhss humain pehchaney kyon,
Mohsin jab bhi chott neyi kha leta hoon,
Dil ko yaad atey hain yaar puraney kyon…
(halwat;seclusion)
Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha..
Mohsin Naqvi
Gum‘sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha..
Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein..
Mohsin Naqvi
Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein,
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley..
Tanhayi Mein Ajeeb Zamanay Ki Wafaa Dekhta Raha
Mohsin Naqvi
Fasl-e-Khirad Hai Rung-e-Chaman Dekhtay Chalo
Mohsin Naqvi
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Naqvi.