Mohsin Naqvi

Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Naqvi Poetry. Feel free to add your own Mohsin Naqvi Shayari here.

Mohsin Naqvi Collection

Mohsin Naqvi
1947-1996

Mohsin Naqvi is our personal favorite poet. Mohsin Naqvi’s Poetry tends to be so relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996. Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered one day.
We have got plenty of Mohsin Naqvi poetry here at Ranjish.com so you can enjoy.



Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain

Mohsin Naqvi

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain

Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain

Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain

Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!

Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain



Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha

Mohsin Naqvi

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha

Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha

Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha

Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha

Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha

Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha

Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha

Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha



Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski

Mohsin Naqvi

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski

Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski



Chaak Daamanian Nahi Jateen

Mohsin Naqvi

Chaak Daamanian Nahi Jateen
Dil Ki Nadaanian Nahi Jateen

Baam-o-Dar Jal Uthay Charaaghon Se
Ghar Ki Weraanian Nahi Jateen

Orh Li Hai Zameen Khud Pe Magar
Tan Ki Uryaanian Nahi Jateen

Hum Tou Chup Hain Magar Zamaanay Ki
Hahsar Saamaanian Nahi Jateen

Dekh Kar Aainay Mein Aks Apna
Oski Hairaanian Nahi jateen

Laakh Ujray Howay Hon Shahzaaday
Sar Se Sultaanian Nahi Jateen

Lashkar-e-Zulm Thak Gaya Mohsin
Apni Qurbaanian Nahi Jateen



Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha

Mohsin Naqvi

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,

Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,

Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,

Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,

Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.



Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain

Mohsin Naqvi

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain,

Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain,

Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,

Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain.



Muu’n chupaaye huye guzra hai

Mohsin Naqvi

Muu’n chupaaye huye guzra hai idhar se jo woh aaj,
Us ki aankhon mein koi zakham neya lagtaa hai….



Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi

Mohsin Naqvi

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi

Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi

Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi

Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi

Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN,
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi……..!



Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain

Mohsin Naqvi

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain



Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

Mohsin Naqvi

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah

Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah

Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Naqvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari