Muztar Khairabadi

Ranjish.com has lots of Urdu Muztar Khairabadi Poetry. Feel free to add your own Muztar Khairabadi Shayari here.

Muztar Khairabadi Collection

Muztar Khairabadi
1862-1927

Muztar Khairabadi was an Indian Urdu Poet. His real name was Iftikhar Hussain, but he used Muztar Khairabadi as his takhalus. Muztar Khairabadi was father of the popular Poet Jan Nisar Akhtar and grandfather of Javed Akhtar.



Elaaj dard-e-dil tum se maseeha ho nahin sakta..

Muztar Khairabadi

Elaaj dard-e-dil tum se maseeha ho nahin sakta,
Tum acha kar nahin sakte, main acha ho nahin sakta..



Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon..

Muztar Khairabadi

Na kisi ki aankh ka noor hoon na kisi ke dil ka qaraar hoon,
Jo kisi ke kaam na aa sake main woh ek musht-e-ghubaar hoon,

Main nahin hoon naghma-e-jaan-fazaa, mujhe sun ke koi kare ga kya,
Main barre birog ki hoon sada main barre dukhi ki pukaar hoon,

Mera rang roop bigarr geya mera yaar mujh se bicharr geya,
Jo chamman khizaan se ujarr geya main ussi ki fasl-e-bahaar hoon,

Faatiha pe koi aaye kyun koi chaar phool charrhaaye kyun,
Koi aa ke shamma jalaaye kyun main woh be-kassi ka mazaar hoon,

Na main “muztar” un ka habib hoon na main “muztar” un ka raqeeb hoon,
Jo bigarr geya woh naseeb hoon jo ujarr geya woh dayaar hoon..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Muztar Khairabadi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari