Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Beemar ka haal acha ha

Urdu Poets

Unke Dekhne se jo aa jati he muhn per roneq
Woh samajte hain k beemar ka haal acha hai !



Go haath mai janbish nahi

Urdu Poets

Go haath mai junbish nahi, aankho mai to dam hai
rehne do abhi saaghar-o-miina MERE aagay



Bohat bayabroo ho kar

Urdu Poets

Nikalna khuld say aadam ka sunte aaye hain lakin
Bohat bayabroo ho kar teray kochay say hum niklay



Itni Mulaqat Bohot Hay

Urdu Poets

Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan JaoGi Barsaat Bohot Hay
Wo Kehne Lagi Jana Mera Bohot Zaroori Hay
Nahi Chahti Dil Todun Tera Par Majboori Hay
Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay
Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bohot Hai



Unka Milna

Urdu Poets

Saray raah jo unsay nazar mili?
To Naksh dil kay ubhar gaye?
Hum nazar mila kar jhijag gaye?
Vo Nazar jhuka kar chale gaye?



Duniya kareeb se

Urdu Poets

jab se dekhi hai hamne duniya kareeb se
lagne lage hai saare rishte ajeeb se



Aa ki meri jan ko qarar nahi hai..

Urdu Poets

Aa ke meri jaan ko qarar nahin hai

Aa ke meri jan ko qarar nahi hai
Taqat-e-bedaad-e-intezar nahi hai

Dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle
Nasha ba andaza-e-Khumar nahi hai

Girya nikle hai teri bazm se mujh ko
Haye! k rone pe ikhtiyar nahi hai

Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khatir
Khak mein ushaaq ki ghubaar nahi hai

Dil se utha lutf-e-jalva haye maani
Ghair-e-gul aayina-e-bahar nahi hai

Qatl ka mere kiya hai ehad to baare
Waye! agar ehad ustawar nahi hai

Tu ne qasam mai-kashi ki khai hai Ghalib
Teri qasm ka kuch aitbaar nahi hai

آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے - مرزا غالب



Ah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Urdu Poets

ah ko chahiye ik umr asar hone tak
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak

dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak

ashiqi sabr-talab aur tamanna betab
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak

ham ne mana k taaful na karoge lekin
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak



aina kyun na dun k tamasha kahen jise

Urdu Poets

aina kyun na dun k tamasha kahen jise
aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise

hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guldasta-e-nigah suweda kahen jise

phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
afsun-e-intazar tamanna kahen jise

sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise

hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise

darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise

?ghalib? bura na man jo waiz bura kahe
aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise



khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye

Urdu Poets

amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dost
dud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost

ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq kar
kaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost

khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiye
surat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost

ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhe
kushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost

chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad hai
dida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari