Saba Balrampuri

Ranjish.com has lots of Urdu Saba Balrampuri Poetry. Feel free to add your own Saba Balrampuri Shayari here.

Saba Balrampuri Collection

Saba Balrampuri is a young Urdu poet from Lucknow, Uttar Pradesh. Keep visiting Ranjish.com for more Saba Balrampuri Shayari and poetry.



Jo phool tum ne bheje they khat ke jawab main..

Saba Balrampuri

Jo phool tum ne bheje they khat ke jawab main,
Ab bhi mehak rahe hain hamari kitab main,

Ae chaand apne husn pe itna na naaz kar,
Ik chaand aur bhi hai mere intikhab main,

Nazren mila ke mujh se mujhe bewafa kahe,
Itna bhi hausla nahin aali janab main,



Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere..

Saba Balrampuri

Chali hai naseem-e-sahar dheere dheere,
Gulon main kare gi assar dheere dheere,

Tumhari mohabbat main hum mar mitten ge,
Magar tum ko ho gi khabar dheere dheere,

Mujhe aesi umeed tum se nahin thi,
Ke tum pher lo ge nazar dheere dheere,

Lagi aag ulfat ki dono ke dil main,
Idhar dheere dheere, udhar dheere dheere.



Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye..

Saba Balrampuri

Daulat ke jo nashe main yahan choor ho gaye,
Woh log manzilon se bohat door ho gaye,

Duniya hamare naam ko pehchanti naheen,
Hum to tumhare naam se mashoor ho gaye,

Kal shaam ki teri yaad ki aesi hawaa chali,
Jitne bhi gham qareeb thay sab door ho gaye,

Yeh kya hua ke sheher ka manzar badal gaya,
Jitne bhi thay charagh woh be-noor ho gaye,

Din raat hum kisi ke tasawur main khoye hain,
Duniya samajh rahi hai ke maghroor ho gaye,

Lo aaj jang hum ne mohabbat ki jeet li,
Hum un ko aur woh humen manzoor ho gaye..



Teri dharkan hoon, tere pyar ka andaz hoon main..

Saba Balrampuri

Teri dharkan hoon, tere pyar ka andaz hoon main,
Teri humraaz hoon main, teri humraaz hoon main,

Tu mere naam koi shaam suhaani likh de,
Dil ke kaghaz pe mohabbat ki kahani likh de,
Zindagani ke naye morr ka aghaaz hoon main,

Ab koi aur bahana na banane doon gi,
Tujh ko apne se kabhi door na jane doon gi,
Tu jise sun ke palat aye woh awaz hoon main,

Meri khawhish, mera jazba, mera armaan hai tu,
Main adhoori hoon tere bin meri pehchan hai tu,
Tu mera shahjahan hai, teri mumtaz hoon main,

Tere soye huye jazbaat jagana hai mujhe,
Teri awaz se awaz milana hai mujhe,
Dhun mohabbat ki jo nikale wohi saaz hoon main..



Pur-aman zindagi ki himayat kiya karo..

Saba Balrampuri

Pur-aman zindagi ki himayat kiya karo,
Nafrat buri balaa hai mohabbat kiya karo,

Ik baat aaj tum ko batati hoon kaam ki,
Izaat jo chahte ho to izzat kiya karo..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Saba Balrampuri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari