Shabbir Ahmad Hameed

Ranjish.com has lots of Urdu Shabbir Ahmad Hameed Poetry. Feel free to add your own Shabbir Ahmad Hameed Shayari here.

Shabbir Ahmad Hameed Collection

Shabbir Ahmad Hameed is an Urdu Poet from Rawalpindi, Pakistan. Lets all read and enjoy ghazals, nazams and shayari written by Shabbir Ahmad Hameed.



ap agar aa ke mujh se mil jayen

Shabbir Ahmad Hameed

ap agar aa ke mujh se mil jayen
zakham jitne hain aaj sil jayen



dDass gayi muflisi mujhe aa kar

Shabbir Ahmad Hameed

dDass gayi muflisi mujhe aa kar
saanp betha raha khazane par



beemar le ke so gaya goli sakoon ki

Shabbir Ahmad Hameed

beemar le ke so gaya goli sakoon ki
temaardar dair talak jagta raha



raat main chain se so nahin paya

Shabbir Ahmad Hameed

raat main chain se so nahin paya
chowkidar jo jaag rahe thay



Yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe

Shabbir Ahmad Hameed

yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe
kayi mahinon ke baad us ki call ayi mujhe

hazar zaiqe us rass bhari zaban main thay
jab us ne meri ghazal raat bhar sunayi mujhe

main cigretton ki tarah dair tak sulagta rahoon
jalaye tere labon ki dia-salayi mujhe

usse khabar hui beemar mar gaya hai tera
woh choRr chaRr ke sab dekhne ko ayi mujhe

shifaa naseeb se milte hai sau mile na mile
tumhare hath se milti rahe dawayi mujhe



Maine mausam badalte dekha hai

Shabbir Ahmad Hameed

maine mausam badalte dekha hai
us ke aangan main aane jaane par


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shabbir Ahmad Hameed.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari