Tehzeeb Hafi

Ranjish.com has lots of Urdu Tehzeeb Hafi Poetry. Feel free to add your own Tehzeeb Hafi Shayari here.

Tehzeeb Hafi Collection

Tehzeeb Hafi is a young Urdu poet from Lahore.



tum kya jano us darya par kya guzri

Tehzeeb Hafi

tum kya jano us darya par kya guzri
tum ne to bas paani bharna choRr diya



Tere lagaye huye zakham kyun nahin bharte..

Tehzeeb Hafi

Tere lagaye huye zakham kyun nahin bharte,
Mere lagaye huye paiRr sookh jate hain,

Koi tumhara safar par gaya to poochain ge,
Ke rail guzre to hum hath kyun hilate hain..



Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya..

Tehzeeb Hafi

Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya,
Itni awazen tujhe di ke gala beth gaya,

Yun nahin hai ke faqat main hi usse chahta hoon,
Jo bhi us paiRr ki chaon main gaya beth gaya,

Itna meetha tha woh ghusse bhara lehja mat puch,
Us ne jis ko bhi jaane ka kaha beth gaya,

Apna laRrna bhi mohabbat hai tumhen ilm nahin,
Cheekhti tum rahi aur mera gala beth gaya,

Us ki marzi woh jise paas bitha le apne,
Is pe kya laRrna falaan meri jagah beth gaya,

Baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan,
Do qadam jo bhi mere sath chala beth gaya,

Bazm-e-janan main nashistain nahin hoti makhsus,
Jo bhi ik baar jahan beth gaya, beth gaya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tehzeeb Hafi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari