Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Masroof ho shayed

Ghazal Shayari

bohat masroof ho shayed,

hamari yaad bhi tum ko,

nahi aksar satati ab,

bichharnay tak say milnay ka,

koi wada nahi kartay,

koi khat bhi nahi llikhtay,

gila karna tou chahtay hain,

tumhari bay rukhi ka hum,

mager is kay liye kuch waqt bhi darkaar hota hay,

jo tum ko mil nahi sakta,
bohat masroof ho shayed.



sard sard mosam

Ghazal Shayari

sard sard mosam main
zard sard honton pay
chup ka ye jo pahra hay
ye b jurm tahra hay
iss taveel chup ka bhi
…un k sar hi sahra hay
sardion ki shamon may
shall orhay yadon ki
haan kisi kay vadon ki
chal ae dil too os vadi
jis jagha pai kanton kai
k ghna sa jungle hay
os ghnay say jungle main
qaber hay shikasta si
os main dafan hain yadain
koch odas shamon ki



zara zara si baat

Ghazal Shayari

Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us Wafa ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
…Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay



Mohabbat Nahen Karte

Ghazal Shayari

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar
…Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte



Ahd e wafa meri jaan

Ghazal Shayari

kabi jo ahd e wafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey

teri judayee mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey

usey yaqiin tha k us ko merna hai phir b khuwahish thi usk dil mein
k tez chalney se paishtar dast e dushmanaan mein kamaan tootey



unki yaad aati hai

Ghazal Shayari

Mein un galiyo me na jaaungi ke unki yaad aati hai…
Mein unko bhool na paungi ke unki yaad aati hai…
Meri aankh ke aansu bayan sb dard kerte hai…

Ke ab mein dil na lagaungi ke unki yaad aati hai….
Ye pahad jaisa din ye chubti hui raate…..
Mein suraj mein jal jaungi ke unki yaad aati hai…

Mein andhero se dar jaungi mujhe unki yaad aati hai…
Mujhe bus yaad aati hai ke unki yaad aati hai



Mohabbat ho to aesi ho

Ghazal Shayari

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!

Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain

faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!

mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,

talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.



iss khauf se wo hath mera daikhta na tha

Ghazal Shayari

ab k tau, chahto’n ka bhi mausam bura na tha
par uss se pehlay wo bhi tau uljha huwa na tha

tujhsay bitcharh k milnay ko chaha tha jee magar
tu bhi naya nahee’n tha, ye dukh bhi naya na tha

kaisa azaab tha k bitcharhne ki rasm mai
jo murh k diakhta tha wo patthar huwa na tha

raas aa gayee mujhay bhi nayee hijrato’n ki rutt
dukh teray mausamo’n ka bhi iss se siwa na tha

shayad koi lakeer mujhay uss se chheen lay
iss khauf se wo hath mera daikhta na tha



Hum usay yaad bhi aye tou kab yaad aye

Ghazal Shayari

Kya khazanay meri jaan,hijer ki shab yaad aye
Tera chehra,teri ankhain,tere lab yaad aye

Aik tu tha jise ghurbat mein pukara dil ne
Werna bichray hoye ehbaab tou sab yaad aye

Hum ne maazi ki sakhawat pe ju pal bher socha
Dukh bhi kya kya humain yaaron k sabab yaad aye

Phool khilne ka mousam mere dil mein utra
Tere bakhshay hoye kuch zakham ajub yaad aye

Ab tou ankhon mein faqat dhool hay kuch yaadon ki
Hum usay yaad bhi aye tou kab yaad aye

Bhool jane mein woh zalim hay bala ka mahir
Yaad ane pe aye tou ghazab yaad aye

Yeh hunak rut yeh naye saal ka pehla lamha
Dil ki khwahish hay k MOHSIN koi ab yaad aye



wo aanchal jana

Ghazal Shayari

tujhko dhundy hai guzerta hua pal pal jana
dekh hum kabse khery hain sar-e-maqtal jana

humse kuch tery marasim hi bary gehry thy
werna sehraon main rukty nahi badal jana

aj bhi honton main machalty hain tery naam k herf
aj bhi sanson main mehekta hai wo aanchal jana


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari