Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Maine us shakhs ko jancha

Ghazal Shayari

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,
Jis Ko Jhota Me Samjhta Tha Wo Sacha Nikla.

Me mujassam usey samjha usey pana chaha,
aik perchai tha wo shakhs bhe saya nikla.

Dunya walo ki nazar me to bura tha lekin,
me ne us shakhs ko jancha to wo acha nikla.

Maqtal e jism me jis ne meri gardan mari,
maqtal e jaan me wo hi mera sahara nikla.

Apne aangan me wo bas kaanch ka tukra thehra,
Ghar ki dehleez k us paar wo heera nikla.

Dil k sikkey ko Zarnaab samjh rakha tha,
Aaj bazar me rakha to khota nikla.

Hum ne aj un se sar-e-raah shikayat kr li,
chubh raha tha jo kai din se wo kanta nikla.

Un k aangan k shajar sary hen shadaab MOEEN,
mere aangan ka ye ik pair bhe sokha nikla.



Hai naseeb sab ka juda juda

Ghazal Shayari

Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n
meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n

be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n

un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jai’na

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n

ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n

kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “Saleem”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n



Rub Se Tum B Mujhe Maang Lo

Ghazal Shayari

Apni Dharknon Se Kuch Aise Mera Naam Lo,

Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhe Ko Thaam Lo,

…Teri Aankhon Main Jhalak Hai Aisi Mere Pyar Ki,

Sahil Pe Jaise Dhalti Haseen Shaam Ho,

Lafzon Se Hota Nahi Izhar Hum Se Pyar Ka,

Bs Meri Aankhon Main Dekh Kar Khud Ko Pehchan Lo,

Jaise Tarasta Hai Sehra Shabnam K Choone Ko,

Kabi Waise Rub Se Tum B Mujhe Maang Lo.



Apna Bana Lo Mujh Ko

Ghazal Shayari

Apni Aaghosh Main Kisi Roz Chupa Lo Mujh Ko,

Gham-e-Dunia Se Mere Dost Bacha Lo Mujh Ko,

…Un Ko De Di Hai Isharon Main Ijazat Main Ne,

Mangne Se Na Milon To Chura Lo Mujh Ko,

Apne Saaye Se B Ab To Dar Lagne Laga Mujh Ko,

Jo Ho Mumkin To Nigahon Main Chupa Lo Mujh Ko,

Dil Main Nakaam Tamanaon Ka Tufan Sa Hai,

Meri Uljan Meri Wehshat Se Nikalo Mujh Ko,

Un Ko Likhna Hai Kisi Roz Ye Khat Main ‘Janaa’,

Hum To Khud K B Nahi Apna Bana Lo Mujh Ko.



Laut k jate kyon ho

Ghazal Shayari

Apne hathon se yon chehre ko chupate kyon ho,

Mujh se sharmate ho to saamne aate kyon ho,

…Tum kabi meri tarah kar bhi lo ikrar-e-wafa,

Pyar karte ho to phir pyar chupate kyon ho,

Ashk aankhon main meri dekh k rote ho tum bhi,

Dil bhar aata hai to phir Dil ko dukhate kyon ho,

In se wabasta hai jab mera muqaddar phir tum,

Mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,

Roz mar mar k mujhe jeene ko kehte ho,

Milne aate ho to phir laut k jate kyon ho.



TUM MERE HO

Ghazal Shayari

Ajab Pagal Si Larki Hai
Mujhe Her Roz Kehti Hai
Batao Kuch Naya Likha,

…Main Jab B Us Se Kehta Hon
Main Ne Nazam Likhi Hai
Magar Unwan Dena Hai,

Bohat Betaab Hoti Hai
Wo Kehti Hai Sunao
Main Usey Acha Sa Unwan Deti Hon,

Wo Meri Nazam Sunti Hai Aur Nazam Ko Ik Unwan Deti Hai
Aur Us K Aakhri Misre K Neeche Apna Naam Likhti Hai
Main Kehta Hon Ye Nazam Meri Hai,

Wo Kehti Hai Bara Sada Sa Ristha Hai
K JIS TARAH TUM MERE HO
USI TARAH YE NAZAM B MERI HAI.



Wo kaagaz ki kashti

Ghazal Shayari

ye daulat bhi lelo, ye shohrat bhi lelo
Bhale chhin lo mujhse meri javani
Magar mujhko lautaa do bachpan kaa saavan
Wo kaagaz ki kashti, Wo baarish kaa paani



Wady bhula bhi deta tha,

Ghazal Shayari

hansata tha mujh ko to phhir rula bhi deta tha
kar k wo mujh se aksar wady bhula bhi deta tha,

be-wafa tha bohat magar dil ko achha lagta tha
kabhi kabahar batain muhabbat ki suna bhi deta tha,

thaam leta tha hath mera kabhi yoon he khud
kabhi hath apna mere hath se chhura bhi leta tha,

kabhi be-waqat chala aata tha milny ko
kabhi qeemti pal muhabbat k ganwa deta tha,

ajab dhoop chhaon sa mizaj tha us ka
motbar bhi rakhta tha” nazron se gira bhi deta tha



Tum kesi mohabbat kartey ho

Ghazal Shayari

ab hath duaa ko uthtey hain,
Alfaaz kahin kho jatey hain,..
Bas dhyan tumhara rehta hai,
Aur aansu behtey rehtey hain,
Har khuab tumhara poora ho,
…Uss Rabb ki minnat karti hun,
Main aisi mohabbat karti hun,
Tum kesi mohabbat kartey ho??



Ishq dhong hay

Ghazal Shayari

Tu ne kaha ishq dhong hay
Tujhe ishq ho khuda karay
Tu nagar nagar phira karay
Usay daikh ker tu ruk paray
Wo nazar jhuka ker chala karay
Tujhe hijer ki woh jahri lagay
Tu milan k pull pe dua karay
Teray khawb bikhrein toot ker
Tu kirchi kirchi chuna karay
Phir yakeen ho tujhy istrha
k usy tasbeyan pe parha karay
Main kahoun ishq tu dhong hay
Tu nahi nahi kiya karay


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari