Ghazal Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.Ghazal Shayari Collection
Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.
koi haasil na tha
Ghazal Shayari
koi haasil na tha aarzoo ka magar
saneha hai ye ab aarzoo bhi nahi
waqt ki musafat me be aarzoo
tum kahan jaoge ham kahan jayenge
ik junoo’n tha ke aabaad ho shahre jaan
aur aabad jab shahre jaan ho gya
hain sargoshiyan dar badar ku baku
tum kahan jaoge, ham kahan jayenge…!!!!
Wo nahi janta
Ghazal Shayari
Wo ik shakhs jo hamain zindagi sy peyara hay
Baghair us k viraan ye jahan sara hay
Wo nahi janta k us ki zaat kiya hay
Wohi tou hay jo muhabbat ka ik sitara hay
…
Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hay
K is mein mera nahi dil ka kasoor sara hay
Wo apni sub baton ko chup chup k beyan karta hay
Yehi tou ada hay jis ny hamain mara hay
Wo kya tha, kya hay, kya hoga, kya khabar?
Yehi pata hay k wo jesa bhi hay bus hamara hay
Log har mor pe
Ghazal Shayari
Log har mor pe ruk ruk k sambhalty kyon hain
Itna dartay hn to phir ghar se nikaltay kyon hn
…Mn na koi jugno hon na diya na chand,
Phir roshni wle mre nam se jalty kyn hn
Jub neend se mera ta’aluq hi nahi barson se
Khuab aa aa k meri palkn pe tehltay kyon hn
Is mein mousam ka qasor hay ya logon ka Ahsan
Log mousam ki tarha pal bhar mn badaltay kyon hn?
Tu khafa hai mujhse
Ghazal Shayari
Tu khafa hai mujhse lekinphir b agar ho saky,
Mere in sawalon ka jawab to de,
Humne jis main likhe thy kuch wady,
Agar mumkin hai to meri woh kitab to de,
…
De nahi sakta agar pyar to aisa kar,
Gham de, Zehar de, ya sharab to de,
Jis main beh jae mere dil ki dunya,
Aisa koi in aankhon main Selaab to de,
Kabhi tum kaha karet they k aap achy hain,
Ab bura he sahi magar koi khitaab to de.
Ye farz kr len
Ghazal Shayari
Agr hum
Tmhen hum se muhbt hai
Tmhary saray jazbon ko
Humari he zarorat hai
…Tumhari sab wafaein
Bas humari amanat hain
Tu phr dunya he janat hai
Isi janat mei rehna hai
Agrchay mukhtasr c hai
Mgr janat tu janat hai…
Ajeeb shaks tha
Ghazal Shayari
ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha
sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha
mai kiu na dad du us kay fun ki
mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha
…
wo to roshnio ka basi tha mgr
meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha
MOHABAT to thi ussy ksi or se shyd
hum se to u hi hansi mazak rakhta tha!!!
Mere pass magar alfaz nahi
Ghazal Shayari
tum raah ho, tum hi manzil bhi
mera aur koi humraaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi
Tumhaare Ghar par jhoomti ghataaon mein
meri aarzoo hai ghuli hui
Mere iqraar ki khushboo
tumhaari saari fizaa mei hai ghuli hui
Yeh hawaa, yeh fizaa, yeh ghataa, sabko hai pataa
Tum ko bhi yaqienan ilm hai, mera tumse chhupaa koi raaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi
Shayari Sach Bolti Hai
Ghazal Shayari
Laakh Pardon Main Rahoon Bhaid Meray Kholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Main Nay Dekha Hai Jab Meri Zaban Dolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
…
Tera Israar K Chahat Meri Bay-Taab Na Ho
Waqif Is Gham Say Mera Halka-e-Ahbaab Na Ho
Tu Mujhay Zabt Kay Sehraoon Main Kion Rolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Yeh Bhi Kya Baat K Aik Chup Chup Kay Tujhay Pyar Keroon
Gar Koi Pooch Hee Bethay Tou Main Inkaar Keroon
Jab Kissi Ki Baat Ko Dunya Ki Nazar Tolti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
Main Nay Is Fiker Main Kaati Kayi Raaten Kayi Din
Meri Shayri Main Tera Naam Na Aaye Laikin
Jab Teri Saans Meri Saans Main Ras Gholti Hai
Shayari Sach Bolti Hai
pyasay to samandar ki taraf jatey hain
Ghazal Shayari
kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain
ik junoo’n hai jo mujhay dasht mai le jata hai
warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain
aik mai hoo’n k nikal jata hoo’n rehzann ki taraf
karva’n walay to raahbar ki taraf jatay hain
koi to hai pas e deevar chaman jiss k liye
zavye nazro’n k manzar ki taraf jatay hain
aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza
aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain
zaur e bazoo say bana saktay hain takdeer jo laug
janay kyu’n qaid e muqaddar ki taraf jatay hain
NAAZ anjani si khaahish hai jo le jati hai
laug kab uss boot e kafir ki taraf jatay hain
Ab yeh talab hay ke usey jeet ke haaroon
Ghazal Shayari
khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon
woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon
jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon?
ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon
bahter hay k ab moot ko seene se laga loon
iss mann ko tere hijer main ab kitna main maroon
pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq
ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haroon
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.