Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Ajao laut kar

Ghazal Shayari

~AJAO LAUT K~

Khamosh Palko Pay Darya Ruka Hai Abhi,

Tumharay Intezaar May Ek Lamha Ruka Hai Abhi,

Sadiyun Ka Faasla To Teh Kar Liya Humne,

Sirf Do Qadmo Ka Safar Ruka Hai Abhi,

Waqt K Sagar Pay Rawan Ho Tum Yeh Jan Lo,

Tumharay Pyar K Liye Ek lamha Ruka Hai Abhi,

Ajao K Zindagi Tamam Na Ho Jai Meri,

Baray Ehtamam Say Mout Ko Tala Hai Abhi,

Sadaen De De K
Be-Awaaz Na Ho Jao Kahin May,

“Ajao Lout K” Ek Jumla Meri Zuban Pe Ruka Hai Abhi…



nahi hon main kisi ka bhi nahi hon

Ghazal Shayari

nahi hon main kisi ka bhi nahi hon
ager khud apne jaisa bhi nahi hon

kabhi aise bhi din ate hain mujh par
k khud ko milne jata bhi nahi hon

main logoon se bohat darta hon lekin
ju rub hay uss se darta bhi nahi hon

bohat hi dukh hua yeh jaan ker aaj
k main tu apne jaisa bhi nahi hon

main apni hadd main rehta hon hamesha
phir iss hadd se nikalta bhi nahi hon

bicha daita main khud ko unko khatir
mager dukh hay k rasta bhi nahi hon

jahan paishaani pe koi harf aye
main aise dar pe jhukta bhi nahi hon

Ali main kya hon k her rooz khud se
ju kehta hon woh kerta bhi nahi hon



woh dil ka bura, na bewafa tha

Ghazal Shayari

Woh dil ka bura, na bewafa tha
Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

Lafzoon ki hadoon say mawara tha
Aab kis say kahoon woh shakhs kaha tha?

Woh meree ghazal ka aaeina tha
Her shakhs yeh baat janta tha

Her simat ussi ka tazkara tha
Her dil main woh jaisay bus raha tha

Mein uss ki ana ka aasara tha
Woh mujh say kabhi na roothta tha

Mein dhoop k bun main jal raha tha
Woh saya-abr ban gaya tha

Mein banjh rutoon ka aashana tha
Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

Ek bar bicharr kay jab mila tha
Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
Uss nay to laboon ko see liya tha

Woh chand ka hamsfer tha shayed
Ratoon ko tamam jagta tha

Hontoon main guloon ki naram khushboo
Batoon main to shehad gholta tha

Kehnay ko juda tha mujh say lekin
Woh meree ragoon main gonjata tha

Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
Inkar ka kis main hosala tha

Yoon dil main thi yaad uss ki jaisay
Masjid main charragh jal raha tha

Mat pooch hijab k qareenay
Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

Uss din mera dil bhi tha paresha’n
Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

Mein bhi tha dara howa sa lekin
Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

Ek khof sa hijar ki rutoon ka
Dono pay muheet ho chala tha

Ek rah say mein bhi tha gurezaa’n
Ek mod pay woh bhi ruk gaya tha

Ek pal main jhapak gaein jo aankhein
Manzer he nazer main dosara tha



Teri tasweer meri ankhon main

Ghazal Shayari

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai



Kabi Wo Subha Na Aye

Ghazal Shayari

Kabi Wo Subha Na Aey Jo Tujhe Raas Na Ho

Khuda Kare Ke Tera Dil Kabhi Udas Na Ho

Tere Duaon Pe Barse Kabuliat Ke Barsat

Jo Bujh Na Paey Tujhe Aesi Koi Piyas Na Ho

Kabhi Who Khawab Na Dekhey Tere Ghazal Se Ankh

Jis Ke Jism Per Tabeer Ka Libas Na Ho



Ghazal Shayari

Ye bikheri c zulfein
ye phela sa kajal
ye bechain aankhein
ye simta sa aanchal
……tere haal se loog pechan lein gy
tujhy dekh kar sb mujhy jaan lein gy
ye behkay qadam larkarati jawani
ye betaab dil or
muhabat deewani
shafaak jese galoon pe ubbri hoe hy
mere hontoon ki ik mehekti nishani
tere jism se urrti meri ye khusboo
suna dy gi her ik ko sari kahani
na ban jaye apna milan ikfasana
SUNO JAAN-E-JAANA
“ABHI GHAR NA JANA”h



Sab jootay rishtay natay hain

Ghazal Shayari

Kab kon kisi ka hota hai
Yeh sab jootay rishtay natay hain

Sab dil rkhnay ki batain hain
Sab apna asal chupatay hain

Ikhlas k jootay log yahan
Lafzon k teer chalatey hain

Ik bar nigahon mein bas kr
phir sari umer rulatey hain. .



Wo nahi mera magar…

Ghazal Shayari

Wo nahi mera magar us se mohabbat hai to hai
ye agar rasmo- rivajon se bagawat hai to hai.

such ko maine such kaha jab kah jab kah dia to kah dia
ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai.

dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai.

kab kaha maine ki wo mil jae mujhe
uski bahon me dum nikle itni hasrat hai to hai.



Kabhi Koshish Nahin Kartey

Ghazal Shayari

Suno Qismat Say Larney Ki
Kabhi Koshish Nahin Kartey
Muqadar Jab Mukhalif Ho
Duaaein Be-asar Jaaein
Sabhi Manzar Bikhar Jaaein
…Tu Aisey Mein Baghawat Ki
Kabhi Koshish Nahin Kartey
Kisi Ke Saath Chalney Ki
Kisi Ke Dil Mein Basney Ki
Kabhi Khwahish Nahin Kartey
Kisi Eik Shakhs Ki Khaatir
Sabhi Say Door Ho Jaana
Kahan Ki Ye Muhabbat Hai?
Muhabbat Ye Nahin Hoti
Muhabbat Dil Mein Hoti Hai
Muhabbat Aks Hai Rab Ka
Kabhi Ye Mar Nahin Sakti
Humeisha Saath Rehti Hai
Humeisha Saath Chalti Hai
Miley Jo Humsafar Tum Ko
Ussi Ke Saath Chalna Tum
Ussey Dharrkan Bana Lena
Ussey Dil Mein Basa Lena
Magar Qismat Say Larney Ki
Lakeeron Say Ulajhney Ki
Kabhi Koshish Nahin Kartey
Kabhi Koshish Nahi Kartey? !



Meri chahat tha wo

Ghazal Shayari

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,
mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha,

rehta tha subh-o-sham wo mere wajood main,
meri awaz mera lehja wo meri ada bi tha,

deta tha mujhko zakham wo be-hisab mgr,
hamdard bi tha mera wo meri wafa bi tha,

ab us k zikr pr aksar ma khamosh rhta hon,
kbi meri muhabbat ki wo intaha bi tha,

ajab kash-ma-kash thi meri zindagi,
poujna usay bi tha aur dil main khuda bi tha…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari