Urdu Intezaar Shayari

This website contains Urdu Intezaar Shayari. Feel free to add your own Urdu Intezaar Shayari here.

Advertisement


Intezaar Shayari

Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.



Itna na pas a ke tuje dhondty phiry

Intezaar Shayari

Itna na pas a ke tuje dhondty phiry

itna na dor ja ke hama waqt pas ho



Marne k bad bhi meri ankhen kholi rahen

Intezaar Shayari

Marne k bad bhi meri ankhen kholi rahen,
Adat jo parh gai hai tere intazar me.



Umer guzari hai sajate hoe baam o dar ko

Intezaar Shayari

Umer guzari hai sajate hoe baam o dar ko,
Is tamana pe k wo jaan e bahar ae gi.



Shaid kisi jazere pe wo muntazir mile

Intezaar Shayari

Shaid kisi jazere pe wo muntazir mile,
Maqtoob likh k me ne sar e aab rakh die.



Pabandi e wafa hai to phir madha se kaam

Intezaar Shayari

Pabandi e wafa hai to phir madha se kaam,
Maar jaiye kisi ki tamana na kijiye.



Hum ne suna hai rahta hai ab bekraar woh

Intezaar Shayari

Hum ne suna hai rahta hai ab bekraar woh
Chup ke kisi ka karata hai roz intezaar woh

Gesu sanwaarta hain na hataun mein hain hina
Aaina dekhtaa bhi nahi baar baar woh

Ek kuj adayee uss mein thi aur hum bhi beniyaz
Pachtawa hum ko hota hai aur sharmsaar woh

Kamzoor chahe jitni ho samme wafa magar
Tanhaa hawa se ladti hai dewana war woh



Aey Dost Tu Na Aaya Terey intiZar Main

Intezaar Shayari

Aey Dost Tu Na Aaya Terey intiZar Main
Ek Mout Thi Jo Aa Gai Wada Kiye Baghair…..!!!



Intizaar ka aalam na pochiye

Intezaar Shayari

Us waqt intizaar ka Aalam Na pochiye,
jab keh raha ho koi Bas Aa raha hoon main…



Marne ke baad

Intezaar Shayari

Marne Ke Baad Bhi Meri Aankheh Khuli Rahi
Aadat Hi Parrh gayi Thi inne Intehzaar Ki



Mera Talabgaar

Intezaar Shayari

Safar mohabt ka dushwar kitna hai
Magr dekhna hai k koi wafadar kitna hai

Yahi soch k usay kabi manga nahi maine
Usay prakhna hay k wo mera talbgar kitna hai



Ik Baar Aa Jao

Intezaar Shayari

Sadiyon Sey Jagi Ankhon Ko Eik Bar Sulaney Ajao,
Mana Key Tum Ko Pyaar Nahin Nafrat Hi Jataney Ajao,

Jis Mor Pey Hum Ko Chor Gaye Hum Bethey Ab Tak Soch Rahey,
Kya Bhool Hoi Kyun Juda Hoye Bus Yeh Samjhaney Ajao,

Her Lamha Teri Furqat Main Hum Tarap Rahey Hum Tras Rahey,
Meri Mano Tum Is Dil Ko Kuch Pal Hi Behlaney Ajao….



Raat ka Aalam

Intezaar Shayari

Phir Muqaddar Ki Lakeeron Main Likh Dia Intezar,
Phir Wohi Raat Ka Aalam Aur Main Tanha Tanha…



Usay Kehna

Intezaar Shayari

Qasid Paigham-e-Shoq Ko Na Kar Taveel Itna
Bus Mukhtasir Unsey Kehna K Aankhien Taras Gay’in



Tera Intzaar

Intezaar Shayari

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe
Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe

To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day
Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe

Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga
Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe

Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya
Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe

Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain
Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe

Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga
Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe



Masroof Boht hai

Intezaar Shayari

Masroof hai din raat usey waqt kahan hai
wo mujh sai kare baat usey wqat kahan hai

Betabi e dil ka usey andaza nahi hai
samjhe mere jazbaat usey waqt kahan hai

wo puchay meri aankh sai behte howe aansu
aay rang e barsat usey waqt kahan hai

bhuley sai hee wo puchney aa jaye mere haal
aay gardish e halat usey wqat kahan hai

moojon main tarapta howa main doob raha hoo
thamey wo mera hath usey waqt kahan hai………

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Intezaar Shayari.



Search Urdu Poetry



RSS Shayari

  • Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy February 3, 2012
    Teacher: Jo mere sawal ka jawab dega wo ghr ja skta hy., Pathan ne foran apna bag khirki se bahir phenka.. Teacher: Ye bag kis ne phenka hai..??? ; , Pathan: Main ne ….. yahooo.. … Chutti Teacher shocked… : … […]
  • dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee February 3, 2012
    dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee sarmay ashjaar ki poshaak dhaani ho gayee jaisay jaisay umr bhigi sado poshaaki gayee soot peela, shart niili , taayee dhaani ho gayee is ki ardo main ab bhi maghrabhi lahjaa mila kaalay baalon ki rangat zaafaraani ho gayee saanp k bosay ma kaisa pyaar tha k faatahaa phr phraa kr ek sadaaya aasmaani ho gayee narm t […]
  • sardion ki udas ratoon main February 3, 2012
    sardion ki udas ratoon main Sawan Ki Bheegi Shamoon Main Hum Khoye Khoye Say Rehty Hain Tumhari Haseen Yadon Main Jub Say Tum Bichry Ho Hum Tum Ko Yad Kertay Hain Ker K Yad Tumhari Soorat Ahain Ab Hum Bhartay Hain Tumhari Di Hoi Her Ik Shay Sanbhal K Ab Hum Rakhtay Hain Ja Ja K Un Glion Main Hum Tumahin Talash Kertay Hain Tumhary Peechay Duniya Chori Majnoon […]
  • Sauda Hamara Kabhi Bazaar Tak Nahi Pohncha February 3, 2012
    sauda hamara kabhi bazaar tak nahi pohncha ishq tha jo kabhi izhaar tak Nahi pohncha yun tu guftagoon bohut huwe unse phir bhi silsila kabhi yeh pyaar tak nahi pohncha jaane kaise ho gaya waakif tamaam shehar daastan-e-ishq yun tu kabhi akhbaar tak nahi pohncha shartein ek dusare ki manzoor thi yun tu par masauda hamara kabhi qaraar tak nahi pohncha gahrayi […]
  • apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn February 3, 2012
    apnay markz ki taraf maail parwaaz tha husn bhoolta hi nahi aalam teri angraae ka … […]
  • naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati February 3, 2012
    naheen aati to yaad inki maheenon tak nahi aati mgr jab wo yaad aatay hain to aksar yaad aatay hain … […]
  • ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai February 3, 2012
    ada hai shart, bnaawat bhi ltf daiti hai wo hud bhi rooth gaya hain mujhe hafa kar k … […]
  • tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaahum February 3, 2012
    tujhay to waada-e-deedaar hum say karna thaa yeh kya kiya k jahaan ko umeed-waar kiyaa … […]
  • raah mazmoon taaza bnd nahi February 3, 2012
    raah mazmoon taaza bnd nahi taqiamat khula hai baab – e sukhan … […]
  • shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas February 3, 2012
    shaam bhi thi dhowaan dhwaan, hsn bhi tha udaas udaas dil ko kaeen kahaniaan yaad si aagayeen … […]